Saturday, November 30, 2019

How to become a rich man

Jindgi me kisi bhi manushya ko Ameer aadmi banne ke liye bhut hi sangharsh karna padta hai.waise to is duniya me sabhi koi Ameer vyakti Banna chahta hai.Is duniya me bahut hi kam log honge ki ameer banne ki chaht na rakhate ho.
Lekin sabhi log Ameer to Banna chahte hai.par dosto koi bhi insan sangharsh nhi karna chahta hai bagair sangharsh ke ham Ameer kaise  ban payege.
Ameer insan banne ke liye aapko apna koi kam chunna padega his kam me aapko jankari ho .yadi aap koi Naya kam kar rhe hai to aap us vishay me khi se bhi jankari prapt kar leni
chahiye Fir us kam ko shuru kare .
Ameer insan banne ke liye aapko apna lakshya nirdharit karna hoga aur fir hame apna kam karna hoga.kyoki hamare pas koi lakshya hi nhi hai to ham safalta kaise prapt karege
Uske bad hame apne kam par pura dhyan Dena hoga kyoki jab ham koi lakshay lekar kam karte hai to us kam me ham apna samay dete hai.
Dosto fir bhi kuchh log kam to shuru kar dete hai lekin usme dhyan nhi dete hai bad me Bolte hai ki kam sahi nhi chal rha Usme Hani ho Rahi hai.kisi bhi kam me ham dhyan nahi denge to hame saflta kaise milegi .
Jeevan me insan ko apne lakshya ko note kar Lena hai ya to kahi bhi likhakar rakh de jaha har samay wo aapko dikhayi de jab hame daily lakshya likha hua dikhai dega tab aapka dimag usi ke anusar kam karega .
Dosto lakshya kitna bhi bda ho ek din usko pura hona hoga ye bilkul hi nischit hai .
Jeevan me kisi kam ko karne me aneko samsyae to aati rahti hai lekin kabhi bhi nirash nhi hona chahiye .Apko apne lakshya ko dhyan me rakhkar kam krna hoga aap ko safalta jarur milegi aur aap ek din safal vyakti jarur banege.
Is duniya me sabhi insano ki jindagi me ameeri gareebi to aati jati jati rahti hai par kabhi bhi bhatkna nhi chahiye ye to jeevan ka niyam hai isase hame kabhi nhi darna chahiye .
Is sansar me koi bhi insan janm se Ameer nhi hota hai yahi isi duniya me aakr Banta hai.
Dosto hame apne lakshya me safalta pane ke liye hame aage ke bhavishya ke bare me sochna hai aur kabhi bhi turant laabh ke bare me nhi sochna kabhi bhi koi bhi Ameer vyakti turant yani usi samay ke bare me nhi sochta wo hamesha aage aane wale samay ko sochkr kam karta hai isliye wo usme safalta prapt karta hai aur jab tak use safalta nhi milti wo us kam me sangharsh karta rahta hai.
Jab tak unhe us kam me safalta nhi mil jati hai tab tak us kam ko karta rahta hai.Aur aam insan kya karta hai aaj kam ko karega kuchh samay bad usko band kar deta hai .bhai kisi bhi kam me turant safalta nhi milti hai us kam me sangharsh karna padta hai tab jakar khi safalta milti hai.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home