Sunday, December 1, 2019

The real life's truth

Jindgi ka Satya ____
Insan ka jeevan ek game ki tarah hai .kisi bhi manushya ke jivan me aneko game khelna padta hai.
Kisi bhi insan ki jindgi hamesha ek jaisee nhi rahti hai .jeevan me aneko mod aate hai.
Kabhi insan ki jindgi khushiyo se Bhari Hoti hai ; to kabhi dukho se Bhari Hoti hai.
Insan ko apani jindgi me aneko paresaniyo ka samna karna padta hai.
Lekin insan ke upar jab bhi presaniya Hoti hai to us samay koi bhi insan uska sath nhi deta hai apna ho ya praya koi bhi bigade samay me sath nhi deta hai.
Apne hi log us samay rista Tod lete hai.usko Sahara dene ke bagair log us par coment karte hai.
Lekin dosto kisi bhi insan ka samay ek jaisa nhi rahta hai kabhi bhi samay palat sakta hai.
Lekin kabhi kisi ki madad nahi kar sakte to us par kabhi  bhi coment nahi karna chahiye kyoki kisi ke jeevan me kabhi bhi paresaniya aa Sakti hai.
Isliye dosto kisi ke upar kabhi bhi Hasna nahi chahiye.Kyoki is jeevan me sabhi logo ke jindgi me sukh aur dukh aate jate rahte hai.
Ye kisi ki bhi jindagi ka Satya hai .Kabhi bhi insan ko apni jindgi me bahut kuchh jhelna padta hai.
Lekin dosto kabhi bhi jeevan me jaisa bhi samay aaye wo kitna bhi samsyao se bhara ho Lekin jivan me kabhi bhi har nhi manni chahiye .Aur kisi bhi samsya ka datkar mukabla kare aisa bhi samay ek din Nikal jayega kyoki jeevan ek sangharsh hai isase kya darna yadi aapne jeevan me har nhi Mani to nishchit hi aapka achhchha samay aayega .
Jeevan me kuchh logo ke upar jab paresaniya aati hai to wo log apni jingi se har man jate hai .Doto kabhi bhi har nahi mane jo log jeevan me har man jate hai to wo log apni jindgi me kuchh nhi kar pate ye to sabhi manushyo ki jindagi ka Satya hai koi bhi paresani jeevan me ho datkar sangharsh kare ye to jeevan me aata jata rahta hai.
Dosto jab bhi jindgi me koi presaniya ho to hamesha apne dimag ko shant rakhe .dosto ham mante hai ki hamesha dimag me uljhan rahti hai fir bhi insan ko us samay dimag ko shant rakhne ke vishay me socho.kyoki yadi ham apne dimag ko shant nahi rakhte to ham kisi kam ko sahi tareeke se nahi kar pate.Isliye hame pure Josh se kam ko shuru kare apna dimag apne kam par lagaye .
Aapko nishchit hi safalta melegi aur jab aapko safalta milegi to wahi log jo aapke upar coment karte the wo aapke aage peechhe ghumate najar aayege ye is duniya ka Satya hai.
Dosto jindgi aneko Khel khelti hai koi is Khel me pas hota hai to koi fel Lekin dosto jo log har nahi mante wo jarur pas hote hai . jo log paresaniya aane par darne lagte hai wo log fel ho jate hai jo log datkar paresaniyo ka mukabla karte hai wo log hamesha pas hote hai .
Isliye kabhi bhi jeevan me nirash nahi hona chahiye aur jab bhi paresaniya aaye unka datkar mukabla kare aapko nishay hi safalta milegi aur aapke jeevan sari khusiyo se bhar jayega.dosto yahi ham sabhi logo ki jindgi ka Satya hai.


0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home