Wednesday, December 4, 2019

How to get sucess with struggule in life

Insan apne jeevan ko safal aur asafal kaise kar sakta hai.

Koi bhi manushya apne jeevan ko his tarah chahega waise hi bna sakta hai .insan ke karm ke anusar hi jeevan banta aur bigadta hai .ydi insan achchhe karm karega to use usko waise hi fal milega aur ydi galat karm karega usi ke anusar use fal milega . Is duniya sabhi insan apni jindgi ko safal banana chahta hai .
Lekin koi bhi sangharsh nhi karna chahta aur sochta hai ki ham bathkar hi safal insan ban Jaye .is duniya me log ye sochte hai mera bhi name liya Jaye .Lekin sangharsh karne ka jab time aata hai to wo pichhe hat jata hai .
Dosto bagair sangharsh ke hame kuchh bhi hasil nahi ho sakta hai is duniya me safalta pane ke liye hame kathin parishram karna padega.

Hame safalta pane ke liye hard work aur aneko sangharsh ka samna karna padega.

Dosto yadi apne jeevan me safalta pana chahte hai to aj se hi apko kam karna hoga .kyoki kal kabhi bhi nhi aata hai .jo bhi karna hai aaj se Abhi se Bina samay bitaye turant hi karna hoga .kyoki duniya itni badi hai jab tak ham sochege tab tak bahut sare log wo kam kar chuke honge.
Jeevan me safalta Pani hai to sabse apne mind ko set karna hoga ki hame har halat me safalta chahiye . Matlab apne uper sabse pahle aatmviswash karna hoga ki ham ek Naya itihas bnayege fir hame usi bat ko apne mind me set kar kam karna hoga.

Dosto yadi hame safalta Pani hai aur Naya itihas likhna hai to aaj se hi Nina samay gawaye
Apne kam par lagna hoga hamara kam hai karm karna fal Dena uper wale ka kam hai.
Hame bagair fal ki chesta karte hue karm karte rhana hai .apne kam me pura dhyan Dena hai . Dosto hame turant safalta to nhi mil jati safalta prapt karne me thoda samay to jarur lagega Lekin parinam bhut hi achchha hoga .Aur hame kathor parishram karna hoga yani ki sangharsh karna hoga .kyoki bagair sangharsh kiye na to hame anubhaw millega aur na hi safalta .Dosto kuchh log sochate hai hame bagair sangharsh ke safalta mil jaye to unki jindgi ki bhut badi bhool hai .Kyoki bagair sangharsh kiye insan bhut hi kam dino me khush rah sakta hai.
Iekin poori jindgi nahi rah sakte hai .Dosto hame jo sangharsh karke safalta milti hai wo long time tak rahti hai .Hard work karne walo ko safalta nischit hi milti hai thoda time jarur lag sakta hai .
 Isliye hame dosto Abhi se apne kam ki shuruaat karni hogi kyoki yadi ham ye sochege ki bad me kar lenge wo samay kabhi nhi aata hai .bathe rahne se insan ko kuchh bhi nhi milta .
Yadi ham kisi kam ko start karte hai to ham us kam me dheere dheere nipud ho jate hai.
Aur hame Gyan prapt hota hai jab hamare pas Gyan hota hai to kam ko ham aasani se kar lete hai.
Dosto ho sakta hai ki hame kisi kam me hame turant safalta na mile ham niche for jaye .
Lekin dosto ham jitni war niche girege utna hi ham us kam me aage jakar safal bhi hoge.kyoki hame kuchh na kuchh har war nya seekhane ko milta hai .waise bhi jab tak ham kisi kam me neeche nahi girege tab tak hame anubhaw nhi us kam me prapt hoga .bagair anubhaw ke safalta kaise milegi .
Islye hame kisi bhi kam me sangharsh karna hoga .Dosto hard work karne walo ki kabhi bhi har nhi hoti samsyaye jarur aa Sakti hai lekin kuchh dino ke liye Lekin hard work karne walo ki Jeet hamesha hotee Rahi hai aur aage bhi Hoti rahegi.
Dosto hard work hi hame safalta ki uchaiyo tak le jata hai .
Dosto jab ham hard work karke safal hote hai to jindgi me jeene ka aannad aata hai .
AJ tak jitne bhi logo ne apni jindgi me sangharsh Kiya hai whi log mahan log bane hai aur duniya me apna name Roshan Kiya hai is duniya me aneko example hai iske jaise ki ek gareeb insan bhi aage chalkar Ameer ho jata hai aur ek gareeb aadmi  ka beta Ias ban jata hai lekin kabhi ye socha hai dosto ki us gareeb insan ne kitna sangharsh Kiya hoga .Dosto ek chhotee si chitee hard work karke pahad Bana Sakti hai to ham to insan hai hame uper wale sab kuchh diya fir ham kyo nhi kar sakte hai.ydi ham chahege to jarur hi ham safal insan banege aur Naya itihas banayege .



Please aage ki post padhe_---


1 Comments:

At December 5, 2019 at 6:49 PM , Blogger Unknown said...

Motivating 👍

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home