Saturday, February 29, 2020

How do a normal man become a rich man (motivatitonl story)

Dosto aaj ham ye janenge ki ek sadharan insan kaise bna ek rich  man
Dosto aaj ham ek gareeb pariwar ki real story btane ja rhe h jo ki bilkul hi satya hai.
Ek chhote se gaw me ek kisan parivar rhta tha unke pas na to rhne ke liye ghar aur na hi khane k liy Paisa.
Kisi tarh mehnat majdoori karke wo log apna pet bharte the.unke teen bachche the total parivar me panch log the puri family ka kharch uthana unke liye bahut bda kam tha ki
Dosto kisi bhi gareeb parivar me ydi panch member hai to uske liye apne parivar ko palne me kitni paresaniya hoti hongi.
Dosto unke pas itne bhi paise nhi the ki wo apne bachcho ko pdha sake lekin wo apne bachcho ko padhana bhi chahte the kisi tarh usne apne bachcho ko goverment school me bhejne lage .
Dosto kisi tarh un logo ne high school tak pdhayi ki aage padhne ke liye paisa nhi to wo log aage pdhayi nhi  ske.
Dosto paise ki parsani ke karan wo log naukri khojne lage aur koi kisi shop me kam karne lga aur koi kisi karkhane me ka karne laga.
Unme se sabse bde ladke ka dimag alag tha wo kuchh apna kam karna chahta tha lekin uske pas itne paise nhi the ki wo apna kam kar sake.
Uska naukri me man nhi lagta tha lekin ek din achank usko shop malik ne naukari se nikal diya .
Dosto us ladke ne socha ki kisi dusre city me jakr naukari karenge wo ghar se achank ek din ghar chodkar chala gya .
Uske pas kewal kiraya hi pocket me tha aur wo whi lekar phucha gya .
Kisi bhi insan ko dusre city me bagair Jan pahchan ke naukari nhi milti hai
wo na hi kisi ko janta tha aur na hi uske rahne ka koi thikana tha .
Dosto uske pas khane ke liye bhi pocket me paise nhi the aur na hi waps ghar aane ke liye paise the.

Dosto futpath me so jata tha aur labour mandi me jane lga Jha use kbhi kam mil jata tha kabhi nhi milta isi tarh uski uski dincharya chalne lagi.
Sara din kam karta aur Sam me aakr futpath ke kinare so jata tha .
Dheere dheere kuchh din rahne ke bad us city me kuchh logo se Jan pahchan hui aur unme se kuchh log aise bhi the ki jo factory me kam karte the.
Us ladke ne un logo se bola joki factory me kam karte the ki mujhe bhi apni factory me naukri dila do to un logo ne kha ki mere sath chalo wha Seth se bat karte hai.
Aur dosto usko bread factory me kam mil gya aur usko teen hjar rupye month ke hisab se salary me naukari mil gyi.
Aur wo usi factory me kam karne lga rhne ke liye bhi factory me jagah mil gayi wo usi factory me sara din kam karta aur usi me rat me aakr so jata tha .
Ab uski Dainik dincharya yhi ban gyi thi . Dheere dheere samay niklta ja rha tha ki factory band hone ki kgar par phuch gayi .aur sabhi kam karne wale majdura ka akhiri mahine ki salary bhi nhi mili factory band ho gyi .
Dosto fir se wo futpath par aa gya khane ke bhi samsya aa gyi jo kuchh uske pas paisa tha wo khatm ho gya .
Dosto fir wo market me majduri karne jane lga wha to kabhi kam milta kabhi nhi milta .
Kuchh din gujar jane ke bad fir usne ek dusri biskut banane wali factory me kam mil gya .
Kuchh din kam karne ke bad use us kam ke vishay me puri jankari ho gyi wo apna kam man lgakr karta tha isliye use factory me jo manager tha wo use manne lga .
Kuchh samay nikalne ke bad ek din factory ke manager ne usko bulaya aur usse bola ki tum majduro ka theka le lo aur kam krwao to usne bola thik hai sir mai majdur bula leta hu aur kam karwata hu .
Dosto usne apne 8 -10 majdoor lga diye kam par aur kam karwane lga ek labour me use 50 rupye milte the matlab total majdooro se use 500 rupye milne lage aur wo khud bhi sath me kam karta tha kul milakr use daily ke 800 rupye ki incom hone lagi .
Aur kuchh din beet jane ke bad usne aur majdoor kam me lga diye kyoki kam jyada tha to utne majdoor pura kam nahi nikal pate the isliye usne aur log kam par lga diye total 20 log kam karne lge uske sath aur ab uski income bhi badhne lgi.

Dosto do sal nikl jane ke bad usne dusri factory me bhi apne 40 - 50 majdoor lga diye ab use dono jagh se paisa aane lga .
Kuchh din bad usne apna khud ka business start kiya aaj is samy uske pas krodo rupye ka business h aur uske sabhi kam achchhe se chal rhe hai.

Dosto usne itna struggule kiya apni life me tab jakr usko safalta mili usne kabhi bhi har nhi mani itni paresaniyo ke bad bhi apne kam me lga rha kbhi bhi har nhi mani isliye usko safalta mili .
Dosto kbhi bhi jeevan me chahe jitne sanghrso ka samna karna pade kbhi bhi dare nhi datkar uska mukabla kre darkar nhi ydi aap jeevan me paresaniya aane par unse dare nhi to nischit hi aapko ek din safalta jarur milegi .
Jeevan me paresaniya to aatee jatee rahti hai ye is sansar ka niyam hai wo kisi bhi tarh ki ho sakti hai .
Dosto jeevan me kbhi bhi haar nhi mane jab tak aapko safalta nhi mil jatee .

Dosto----

Sangharash karte hue mat ghabrana
Kyoki sangharash ke dauran hi
Insan akela hota hai
Safalta pane ke bad to
Saree duniya sath hoti hai .

Dosto post achchhi lgi ho to comment aur share jarur kare -------

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home