Saturday, December 14, 2019

How can a poor man become a rich man in this word

Dosto ----
Aaj ham ye janege ki ek gareeb insan is duniya me kaise ameer insan ban sakta hai.
Aaj ki duniya me kaun aisa manushay hai joki ameer nhi banana chahta hai.is duniya me sabhi log ameer banna chahte hai lekin fir bhi ameer bhut kam log hai .Aur gareeb bhut se log hai .Is duniya me ek chauthai log ameer log hoge baki sabhi log gareeb hai .
Aaj ki duniya me ameer aur ameer banta chala ja rha hai aur gareeb aur gareeb hota chala ja rha hai.Iske kya karan hai ki aisa ho rha hai .
Gareebo ke pas na to koi rojgar hai na hi koi sansadhan ydi gareebo ko rojgar mile to wo log bhi kuchh kar sakte hai .kisi bhi sadharan insan ko ydi daily rojgar nhi milega to wo ameer banna to door ki bat hai wo apne pariwar ka palan poshan kaise karega .lekin sachchai yhi hai is duniya ki lekin inke liye koi kuchh bhi nhi karta hai .
Dosto is sansar me gareebi hone ka men karan ye bhi hai ki jansakhya ka adhik hona aap log ye dekhege ki ameer aadmi ke bachche kam honge aur gareeb ke pas Jada honge.
Hame ye soch badlni hogi ki chota parivar hamesha sukhi rahta hai .

Dosto ek sadharan insan bhi ameer aadmi ban sakta hai chaliye jante hai kaise gareeb insan insan ameer ban sakta hai .
Sabse pahle hame ye sochna hoga ki hamari main manjil kya hai aap ekant me baithkar sochiye ki hame ye pana hai .uske liye aap notebook le aur usme apna target likh kar rakh de .ki hamare pas kya kya hona chahiye .matlab wo sabhi cheeje Jo aap pana chahte hai . jis par ye likha hai wo hamare samne rahna chahiye matlab jis samay aap sokar jagte hai to aapki najar usme padni chahiye aur jab aap sone ja rahe ho tab bhi wo aapke samne hi rahna chahiye .
Aap jis time sone jate hai to ye sochkar soye ki mai kaun hu .yani ki aap ko ye sochna hoga ki mai sab kuchh pa sakta hu matlab Jo mai soch sakta hu wo mai hasil kar sakta hu .aapko daily sote samay ye sochna hoga jis samay aapko neend aa rhi ho us samay ye roj aapko sochna hoga aur kabhi bhi nkaratmak vichar apne man me na soche har Sam sakaratmak vichar hi soche yani ki kabhi aapke dimag me negative vichar nahi hone chahiye .
Yadi aap har samy postiv sochte hai to hamare shareer me nayi urja utpan hoti hai aur hamare vichar bhi badlane lagte hai .jab hamare vichar badlege to ham usi ke anusar kam karege .jeevan me yadi bada insan banana hai to hame apne vichar badlane hoge aur har samy aapke samne aapka target dikhai dena chahiye jab ham kisi target ko mind me lekar kam karte hai to nischit hi pura hota hai .
Is sansar me Jo kuchh bhi insan soch sakta hai to wo use pura bhi kar sakta hai .
Dosto apne dimag me ye than lo ki hame har halat me ameer insan banana hai to aap jarur ek din safalta prapt karege.
Dosto ye bilkul sahi hai ki -----------

Jeet aur har
Aapki soch par nirbhar karti hai
Man lo to har hogee
 Than lo to jeet hogee .

Dosto yadi ham pahle hi negative vichar dimag me layege to layege yo hame kaise safalta milegi .Isliye hame kabhi bhi negative vichar  dimag me nhi Lana aur har samay hame sakaratmak vichar hi dimag Lana hoga .
Aur kabhi bhi sangharsh karne se peechhe nhi hatna hai yani ki mehnat karne se peechhe nhi hatna hai .

Dosto -------

Karmbhoomi ki duniya me -----
Parikshram sabhi ko ko karna pasta hai ! ----
" god sirph lakeere deta hai par ------
Rang to hame hi bharna pasta hai !

Isliye dosto karm kariye sangharsh karne se peechhe mat hatiye apna kam hai karm karna fal dena to upper wale ka kam hai yadi ham karm karege to hame fal nishchit hi milega ydi peechhe hatege to kuchh bhi nhi milega .
Dosto yadi aap karm karege to ek din aap bhi ameer insan banene aur aapko duniya ki koi bhi takat ameer banne se nhi rok sakti hai.

Please share kare ......

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home