Thursday, March 12, 2020

How do a son of vegetable seller become an IAS officer...

Dosto aaj ham janenge ki ek bahut hi gareeb pariwar ka ladka kaise ias adhikari bana.
Ek chhote se gaw me gareeb pariwar rahta tha wo sara din mehnat aur majdoori karke apne pariwar ko chla rha tha .
Lekin fir bhi kabhi aisa bhi din aa jata tha ki unko khana bhi nhi mil pata tha.kisi tarah wo apna gujara kar rha tha .
Lekin dosto kuchh samy bad unke ek ladka paida hua abhi tak to pariwar me kewal pati aur patnee hi the tab bhi un logo ko bagair khane ke sona padta tha aur ab ek priwar me bachcha bhi aa gya .
Dosto wo aadmi aur  aurat pahle se dusre ke kheto me jakr majdoori karte the.ab unko apne bachche ke liye bhi kharche ka tensan ho rha tha .
Un logo ke rahne ke liye ghar bhi nhi tha ek chhoti si jhopdi bnakr gaw me rahte the jab baris ka mausam hoti thi to wo log rat bhar jagte rhte the kyoki jhopdi me pani ander aane lagta tha .
Dosto bahut hi paresaniya thi unki life me lekin wo log fir bhi apne bachche ke bhavishya ke liye kuchh bhi mehnat karne ko taiyar the .
Unka bachcha bhi dheere dheere bda ho rha tha aur un logo ko chinta rahtee thi ki kya kre jisse ki kuchh paise aane lge .
Dosto un dono logo ne socha ki kisi sahar me jakr kam karte hai to kuchh aamdni hone lgegi .Dosto un logo ne ek din gaw chodne ka faisla kiya aur gaw ko chhodkar sahar me aa gye.
Lekin dosto achank se kisi bhi dusree jagah jane me turant to kam milta nhi hai aur na hi rahne ke liye jagh miltee hai .
Dosto wo futpath me aakr rahne lage aur fir se whi majdoori ka kam karne lage lekin dosto daily to kam milta nhi tha ek din kam milta to dusre din kam nhi milta fir bhi kisi tarh wo log apna pet pal rhe the.
Lekin wo log apne bachche ko pdhana chahte the . Lekin majdooree karne me itna paisa nhi milta tha jisse ki wo apne bchche ko pdha sake kyoki jo bhi paisa aata tha wo khane peene me kharch ho jata tha.
Dosto usne ek din faisla kiya ki koi dusra kam karna hoga jisse ki daily kuchh paisa aaye lekin kuchh apna kam karne ke liye paisa chahiye tabhi aap apna koi bhi kam kar sakte hai .
Lekin un logo ke pas paisa to tha nhi to kam kaise chalu kare.
Dosto uski patnee ke pas mangalsutr tha joki sabhi aurte pahntee hai uski patnee ne ek din bola ki aap is mangalsutra ko bech do jisse kuchh paisa aa jayega to koi kam chalu kar dena

Dosto aap log jante hai ki sadi suda aurto ki mangalstra ek nisani hoti hai lekin majboori kya kya krwati  hai is jeevan me jo aapne kabhi nhi socha hoga wo bhi karna padta hai.
Dosto usne us mala ko bech diya jisse ki use ek hjar rupye mile aur usne usi paise se footpath kinare sabji bechne ka kam chalu kar diya .
Uske pas daily kuchh paise aane lge  . Kuchh samy bad thode paise jma krke ek thela khareed liya aur usme sabji rakhkar har muhalle me jane lga aur apne bachche ko bhi padhne ke liye school bhejne lga .
Kuchh din bad toda paisa aaya to ek choti si dukan kiraye ki lekar usme apna kam karne lga aur sabhi log usi dukan me apne kam me lge rhte the  aur unka ldka bhi school se padhkar aata to dukan me apne pita ke sath lag jata tha.
Lekin uska pita rokta tha ki dukan ham dekh lenge tum pdhayi me dhyan do kyoki wo padhne me hosiyar tha .
Dosto us ladke ne 10 wi class me top kiya aur iske bad aage ki pdhayi me bhi dhyan lgakr pdhayi kar rha tha .uske mata pita bhi puri apni kmayi ko usi ke padhane me lga rhe the .
Dosto wo ek adhikari banna chahta tha .padhayi puree karne ke bad wo civil service ki taiyari karne lga .kuchh dino bad usne upsc ka exam diya lekin wo pahlee bar pas nhi hua.
Lekin dosto usne har nhi mani din rat apni study me ek kar diye .
Aakhirkar usne exam pas kiya aur aaj ek ias adhikari ban gya .
Dosto uske mata pita ne usko padhane ke liye kitna kathin sangharash kiya lekin unko safalta mili .
Dosto mehnat karne walo ki kabhi har nhi hoti lekin jab aap apne prayas jari rakhege kisi bhi kam me to aapko safalta jarur milegi .
Kabhi bhi presaniya aane par dare nhi blki unka datkar mukabla kare safalta aapke Charan chumegi .
Lekin kisi bhi kam ko tabtak kare jab tk ki aapko safalta nhi mil jati .
Dosto aaj tak jisne bhi sangharash kiya hai usko safalta jarur mili hai
Ho sakta hai ki safalta milne me time lga ho lekin wo log safal jarur hue hai.

Dosto isliye kabhi bhi sangharash karne se dare nhi .aap jo bhi pana chahte hai usko ek din nischit hi hasil karege .

Dosto-------

Hausale ke tarkash me ,
Koshish ka wo teer jinda rakho ---

Haar jao chahe jindgi me sab kuchh , 
Magar fir se - jeetne ki ummeed me
Apna jameer jinda rakho !

Dosto post achchhee lagi ho comment aur share jarur kare---

How do a son of vegetable seller become an IAS officer...

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home