Friday, January 31, 2020

Motivational story a simpile family

Dosto aaj ham is Post me janege ki ek sadharan pariwar kaise apne jeevan me sangharash karta hai .
Dosto aaj ham aapko ek simple family ke jeevan ki sacchi Kahani batane ja rhe hai......
Ek chhote se gaw me ek gareeb kisan rahta tha uske pariwar me total  panch log the wo kisi tarah apna jeevan chala rha tha .
Wo sara din apne kheto me kam karke apna pet pal rha tha .uske bchche abhi chote the kisi tarah apna gujara kar rha tha .
Lekin bachcho ko school bhejne ke liye uske pas paise nhi the lekin wo apne bachcho ko padhana chahta tha wo apni tarah bachcho ko nhi rakhna chahta tha unko pdha likhakar achchha insan banana chahta tha lekin kya kre uske pas bachcho ko school bhejne ke liye paise nhi the .
Ek din wo apni patni se bolta hai ki kya kare inko padhane ke liye paise kha se laye.
Uski wife ne bola ki ham bhi kam karte hai to kuchh paisa aa jayega jo bachcho ke school me nam likhane ke kam aayega.
Lekin wo padhi likhi nhi thi to kam kaise mile. Usne kam dhudna shuru kiya lekin koi kam hi nhi de rha tha.
Lekin usne har nhi mani wo kam khojti rahi aakhirkar ek din usko ek kam mila wo kam tha ghar me safayi karne ka aur uska salary per month five hundred rupaye thi .
Dosto ek month kam karne ke bad use paise mile usi paise se usne apne bachcho ka ek goverment school me dakhila krwa diya  .
Bachche school jane lage aur uska bhi kam badhne lga usko aas pas ke gharo me aur kam mil gaya .
Dosto uske bachhe padhne me hosiyar the  to unko school se kuchh anudan milne lga aur dheere of dheere time niklta ja rha tha.
Dosto unme ek ladka unka padhne me bahut hi achchha tha wo akshar yhi bolta tha ki mai ek adhikari banuga lekin dosto koi bhi insan nhi janta ki aane wala time kaisa hoga .

Dosto ek din achank uski maa ka dehant ho gaya achank un logo par dukh ka phad toot gya
Abhi tak jo paise aa rhe the wo bhi aana band ho gye unki uper fir whi presaniya chalu ho gayi fir se khane ke liye bhi muskile aane lgi .
Lekin dosto kisi bhi 17 sal ke bachchhe ke uper itni paresaniya aa jayegi to uska dimag kam nhi karega.
Lekin us ladke ne har nhi mani kuchh din beetne ke bad wo tution padhane lga jisse ki kuchh paise aane lage aur usne apni pdhayi ko nhi choda .
Wo din rat pdhayi karta aur apni upsc ki taiyari karne lga samay gujrta chala ja rha tha usne upsc ka exam diya lekin uska selection nhi hua.

Lekin dosto usne har nhi mani aur apna pryas jari rkha wo aur bhi jada time pdhayi me dene lga usne bahut hi kathor parishram kiya .
Dosto jab dusri bar fir usne form dala aur is bar uska selection ho gaya .
Aaj wo ek pcs adhikari hai .

Isliye dosto jo aap dimag me soch sakte h wo sabhi kuchh pa sakte hai lekin kisi bhi kam me kathor parishram ki jarurat hoti hai .
Aur kabhi bhi paresaniya aane se dare nhi datkar mukabla kare sabhi paresaniya door ho jayegi aur yadi dar gaye to aur bhi majbooriya jeevan me aayegi.

Dosto post achchhi lagi ho to comment aur share jarur kare -----



0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home