Friday, December 20, 2019

What should human do and what not to do in their life

Insan ko apni life ko safal banane ke liye kya karna chahiye aur jeevan me kya khi karna chahiye.
Dosto is duniya me koi bhi insan aisa nhi hai Jo ki apni life ko safal na banana chahta ho
Is sansar me sabhi vyakti safal hona chahte hai . Lekin sabhi insan ye chahte hai ki hame bagair work kiye safalta mil jaye aur mai ameer insan ban jaoo . aap logo ne is duniya me safal vyaktiyo ko dekha hoga wo log hard work karte hai un logo ke pas time kam pad jata hai kam karne ke liye .lekin adhikansh log ye sochate hai ki ham aaram se baithe baithe safalta prapt kar le .
Lekin kabhi kisi bhi insan ko sadharan tareeke se safalta nhi milti hai safal hone ke liye hame struggle karna padta hai. Aur safalta pane ke liye hame sahi disha me kam karna hota hai , yani ki kisi bhi kam ko shi tareeke se karna hota hai. Safalta market me milne wala koi saman to nhi hai jise jab bhi aap chahege to khareed lenge isko pane ke liye bahut hi sangharsh karna pasta hai .

Dosto chaliye ham ye jante hai ki hame safalta pane ke liye kya karna chahiye.

(1) _ Life me safalta prapt karni hai to aapko signal chalna hoga.

 Dosto yadi hame safalta kisi bhi kam me prapt karni hai to hame har samay akele chalna hoga matlab hame kisi ka bhi sath nhi Lena hai aur har samay apne mind se kam karna hoga ,yani ki kisi bhi dusre insan ki adwise hame nhi Lena chahiye kyoki jab bhi dusra vyakti aapko adwise dega to wo apne dimag se dega aur usme hamra mind badal jata hai aur ham ye sochne lagte hai ki hame ye kam karna chahiye ya nhi aur ham kisi bhi kam ki shuruaat nhi karte aur time gujarta chala jata hai .
Yadi ham kisi kam ko start hi nhi karege to ham kaise safal honge isliye hame bagair kisi ke adwise ke Jo kam aapko karna hai use turant start kar dijiye kyoki aaj ki duniya me comptison bahut hi Jada hai isliye hame kam ko abhi se start karna hoga nhi to ham jitna kam ko der se krenge utna ham peechhe hote chale jayege isliye dosto kisi bhi kam ko karna hai aur safal hona hai to time mat barbad kijiye aur shuru kijiye jitna fast ho sake kyoki kal kbhi bhi nhi aata hai .

(2). Apne target ke liye yojna bnana aur dhairya bnaye rakhna hoga _

Dosto kisi bhi kam ko karne se pahle yojna bnana bahut hi jaruri hai kisi bhi subject me yadi safal hona hai to aapko yojna bna leni chahiye kyoki bagair yojna ke koi bhi kam safal nhi hota hai aur apna lakshya nirdharit karna hoga ki hame ye work karna hai apna dimag idhar udhar na bhatkaye apne lakshay ko lekar kam karna start kar Dena chahiye .Kyoki akshar log dusre logo ko dekhkar bhatk jate hai matlab ye ki log dusre ke kam ko dekhkar sochne lagte hai ki ye kam Shi hai .Lekin kabhi bhi dusre ko dekhkar koi bhi kam nhi karna chahiye kyoki usse hamara mind Shi tareeke se kam nhi karta hai .
Apko jo bhi kam sabse achchha lagta ho usi kam ko aap ko karna chahiye aur dusre kisi ke kam ko dekhkar nhi karna chahiye .
Aapki jis kam me sabse Jada Ruchi rakhte hai usi kam ko karna chahiye kyoki sabhi insano ki Ruchi alag Hoti hai isliye aapki Ruchi jis bhi work me sabse adhik ho usi kam ko kare kyoki jis kam me hamari Ruchi adhik Hoti hai us kam ko ham sahi tareeke se kar pate hai .
Dosto kam small ho ya big koi bhi kam chhota ya bda nhi hota hai isliye jisme bhi aapki Ruchi sabse adhik ho usi kam ko kare .
Dosto kyoki small kam bhi hoga to wo bhi aage aane wale time me big ho jayega ydi hamari us kam me Ruchi Hoti hai to aur hame saflta nischit hi milegi Lekin hamesha ye dhyan rkhna hoga ki pareshaniya aayegi to datkar mukabla kre kabhi bhi har nhi manani chahiye kyoki jo bhi insan preshaniyo se dar jata hai to wo safal nhi ho sakta is life me isliye kabhi bhi darna nhi chahiye .Aur dosto kabhi bhi apna dharya nhi khona chahiye hamesha dharya banaye rkhana hoga .

(3)_ Nirantar pryas karte rahna 

Dosto ydi hame safalta kisi bhi kam me prapt karni hai to hame lgatar pryas karte rahna chahiye kisi bhi kam me turant saflta nhi milti hai ho sakta hai aap jo bhi kam kar rhe hai Usme bahut saree samasyaye aa jaye lekin hame sabhi pareshaniya se ladkar aage badhna chahiye kyoki ye to aati jati rahtee hai inse kabhi bhi har nhi manni chahiye kyoki jitni bhi kathinayio se ham ladkar aage badhege utna hamara aatmvishwas badhega aur ham apne kam me aur b kihi nipun hote chale jayege .aap jab preshaniyo se nhi darege to aage jakar safalta nishchit hi milegi aur aap safal insan banege .
Dosto isliye pryas karte rahna chahiye jab tak ki hame safalta nhi mil jati hai yadi aap pryas karte rahege to ek din safalta aapke Charan chumegi .kyoki Nirantar pryas karte rahne se aap jarur safal insan banege.

Dosto aur Janne ke liye aage aane wali post padhe ___

Please dosto me share kre ___

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home