Wednesday, February 5, 2020

How does a child struggle without his father in his life

Dosto aaj ham ye janege ki ek baccha father ki mrityu ho jane ke bad kaise apne jeevan me sangharash karta hai.
Dosto ydi kisi bhi privar me jab bachcha chota ho aur uske pita ki mrityu ho jaye uski kewal ma hi ho to dono ko kitna sangharash karna pdega ye to aap log samjhte hoge.ki us bachche aur uski maa par kya musibate aati hogi.
Aaj mai aapko ek parivar ki real story btane ja rha hu jo ki ek saty ghatna par aadharit hai.
Dosto ek privar me teen log the ek bachcha aur pati patni wo apna sadharan jeevan ji rhe the kyoki wo ek kisan the unke ghar me kheti ka kam hota tha .
Jameen bhi kam thi lekin wo kisi tarh apna jeevan chala rhe the .wo log din rat kam karke kisi tarah apna jeevan chala rhe the lekin dosto achanak parvar me ek ghatna ghat jati hai.
Dosto bachche ke pita ki mrityu ho jati hai aur unke privar ke uper dukho ka pahad tut jata hai kyoki ghar me kamane wala ek hi insan tha .
Dosto aap log ye sochiye ki jiske sath aisi ghatna ghat jaye to us parivar ki kya sthiti hogi.
Mai uper wale se yhi prey karuga ki kisi ke sath aisi ghatna n ghatit ho.
Dosto aage dekhte hai ki us privar ka kaise gujar basar hota hai to chaliye ye jante hai.
Us parivar me jo kam karne wala insan tha wo to khatm ho gaya ab un logo ko apna pet palne ke liye majbooriya aane lagi to ek din bachche ki maa ne socha ki aise to life nhi chalegi to usne khud nirayan liya ki ab mai kheti me kam karugi aur wo ghar se nikalkar kheto me kam karne jane lagi.
Lekin dosto uske padosi log use bura bhala kahne lage kyoki wo ek akeli aurat thi isliye koi uski madad to kar nhi sakta lekin uski log burayiya jarur karne lagte hai ye samaj ki kuritiya hai .
Isliye dosto yadi aap kisi ki madad nhi kar sakte to uske vishay me bura to nhi bolana chahiye.
Lekin us aurat ne kisi ki nahi suni aur apna kam karne lagi bahar kheto me jakar dheere dheere uski sthiti bhi sudharane lagi lekin uska bachcha bhi samay beetne ke anusar bada ho rha tha.
Wo ab school jane ke kabil ho gaya tha aur uske pas itne paise nhi the ki wo kisi achchhe school me nam likha sake isliye dosto usane ek goverment school me nam likha diya .
Aur uska ldka ab school jane laga aur wo pura din apne kheto me jakar mehnat karti samy gujrta ja rha tha aur uska ladka bhi bda ho gya tha ab aage ki pdhayi ke liye jyada paise ki jarurat thi lekin uske pas utne paise nahi the .
Dosto usne apne bachche ko padhane ke liye apni kuchh jameen bech
 di jisse ki kuchh paisa aa gya aur uska ldka ab class 12 me pas ho gaya .
Lekin dosto ab aage padhayi karne ke liye paise nhi the uske pas to us ladke ne socha ki koi job kar le to kuchh paisa aane lagega.
Ab wo job khojane lga lekin dosto aajkal sadharan koi job nhi milti isliye dosto usne goverment job ke liye police ki naukari ka farm dala .
Dosto wo sabhi saririk aur likhit pariksha to pas kar gya aakhiri me number aaya merit sunane ka to dosto uska nam merit list me nhi tha aur uske sath ke jo ladke jinke sabhi pareeksha me kam number the unka selection ho gya .
Dosto uska isliye nam nhi aaya kyoki uske pas ghoos dene ke liye paise nhi the wo waps nirash hokar laut aaya ghar aur ye sochta rha ki yadi aaj mere pas bhi paise hote to mera bhi selection ho gya hota .
Dosto usne haar nhi mani aur ek hotel me vetar ki naukari karne lga lekin wo majboori me naukari kar rha tha kyoki usme uska man nhi lag rha tha.
Dosto ek din wo us naukari ko chodkar kpade banane ka kam sikhne chala jata hai aur sikhane ke time ek sal tak use kuchh bhi nhi milta use kewal pet bharne ke liye khana milta hai .
Lekin wo kosish karta rahta hai kabhi bhi har nhi manta aur kam sikhne ke bad kuchh din kam karta hai aur kuchh paise jutata hai .
Dosto iske bad wo   teen char silayi masine kharidta hai aur kam krta hai dheere dheere uske pas aur paise aa jate hai aur wo aage jakr ek silayi factory khol deta hai jisme 40-50 workar kam karne lagte hai .
Dosto aaj uska kam bahut hi achchha chal rha hai aur abhi to khud ka mal banakar bhi bechata hai aur bahut se logo ko rojgar de rha rha hai .
Matlab dosto uski life me sangharash aur paresaniya aayi lekin usne kabhi bhi haar nhi mani aur pareshaniyo ko jhelkar aaj usne safalta prapt kar li isliye dosto kisi bhi kam me kitna bhi sangharash ho apni taraf se kabhi haar nhi manni chahiye .
Dosto aur jab tak hame kisi bhi kam me safalta nhi mil jati tab tak kosish karte rhe .
Dosto isse hame sikh leni chahiye ki ek bachcha sangharash karke ek safal insan ban sakta hai to aap log bhi ydi kosish karege to nischit hi safalta milegi isliye kabhi bhi kosish karna nhi chodna chahiye .

Dosto kyoki kosish karne walo ki kabhi haar nhi hoti, isk sandrbh me ek mahan lekhak ne likha hai -------

Lehro se dar kar nauka paar nhi hoti,
Kosish karne walo ki kabhi haar nhi hoti 
Nanhi cheeti jab Dana lekar chalti hai ,
Chadhti deewaro par, sau bar fisalti hai 
Man ka vishwas rango me saahas bharta hai,
Chadhkar girana , girkar chadhna na akharta hai
Aakhir uski mehnat bekar nahi hoti,
Kosish karne walo ki kabhi haar nahi hoti 
Dubkiya Sagar me gotakhor lagata hai ,
Ja jakar khali hath lautkar aata hai 
Milte nhi sahaj hi moti gahare pani me,
Badha dugna utsah isi hairani me,
Mutthi uski khali har bar nahi hoti ,
Kosish karne walo ki kabhi haar nahi hoti,
Asfalata ek chunauti hai , ese swikar karo ,
Kya kami rah gayi hai ,dekho aur sudhar karo 
Jab tak na safal ho , neend chain tyago tum
Sangharash ka maidan chhodkar mat bhago tum
Kuchh kiye bina hi Jay jaykar nahi hoti , 
Kosish karne walo ki kabhi haar nahi hoti .

Dosto post achchhi lagi ho to comment aur share jarur kare ---



0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home