Ek chote se gaw me ek ldka rahta tha uska naam anash tha
Bachpan se hi wo bol nhi sakta tha log use gunga kahkar chidhate the , school me bachche uska mjak udate the,
Lekin anash ki aankho me hmesha alag karne ki chamk thi ,
Ek din school me ek penting pratiyogita hui
Anash ne apni bhawnao ko rango me utar diya -ek bina pankh ke insan udata hua dikhaya tha
Sab hase ,bole ki aisa kbhi nhi ho skta,
Lekin jaj chup the,
Unhone anash ki penting ko dekha aur kha ,kbhi kbhi jo hota hai wo dikhayi nhi deta ,
Wahi sabse taktvar hota hai !
Anash ne fir kbhi peeche mudkar nhi dekha usne esharo ki bhasha me chitro aur video ke jariye sanvad karna seekha!
10 years bad whi anash ek famous digital artist bna , jiski penting aaj antarrastriya pardarshniyo me lagti hai !
Ek interview me anash ne esharo me kha:
Sabdo ki awaj se nhi ,erado ki gunaj se udan miltee hai ,
Aaj uske gaw ke log jo kbhi uski kamjori par haste the ,aaj uski art se prerit hokar apne bachcho ko sikhate hai ki har insan ke andar adryash pankh hote hai ,
Bas yakin aur himmat se udna aana chahiye