Saturday, December 7, 2019

How do some people struggle for their hungriness in this world

Dosto is duniya me kuchh log khane ke liye sangharsh kar rahe hai.
Aj mai ye btane ja rha hu ki is sansar me log apni bhookh mitane ke liye sangharsh kar rhe hai .
Dosto is duniya me bhut se aise log hai Jo ki bagair khana khaye rat me so jate hai yhi sachchayi hai is duniya ki lekin ham log kabhi bhi un logo ke vishay me nhi sochate hai .is duniya ki ye hakikat hai ki kuchh log bhookhe mar rahe hai aur kuchh log khane ko barbad kar rahe hai.
Dosto aapne bhi dekha hoga ki log sadi ki party ho waise koi party kitna khana barbad krte hai.app gharo me dekhiye daily khana Bach jata hai use log fekte hai .
Kabhi bhi ham logo ne ye nhi socha ki log bhookhe mar rahe hai aur ham khana fek rahe hai yhi sachchayi hai ki log kewal apne hi vishay me sochte hai kabhi bhi un logo ke vishay me nhi sochate Jo ki bhukhe mar rahe hai .
Dosto ham logo ko aisa nahi karna chahiye hame kabhi bhi khana nahi fekna chahiye .
Kyoki ek gareeb insan jab subah se lekar Sam take khane ke liye sangharsh karta hai wo subah se lekar Sam tak kam karta hai tab use kahi khana naseeb hota hai .
Dosto kabhi kabhi aisa bhi time aata hai ki use bhukhe so Jana padta hai .lekin koi bhi nhi sochata un logo ko vishay me hame ye soch badlani hogi tabhi un logo ka kuchh hoga .Is sansar ki hakikat to ye hai ki koi na koi daily bhukh ke karan mar jata hai .
Lekin insan apne aap ghamand me itana choor ho gaya hai ki usko kisi ke vishay me sochane ka time nhi hai .
Dosto aisa nahi hai ki usko time nahi hai lekin wo sochana hi nahi chahta .Upper wale be insan ko isliye banaya ki wo achchhe karm karega jakar is duniya me sabhi kuchh diya insan ko fir nhi log nahi sudharte hai .
Kabhi bhi hame insaniyat nahi bhulani chahiye kyoki insan yadi achchhe karm karega to use uska fal bhi milega aur yadi bure karm karega to bhi usi ke hisab se use fal milega.
Dosto jin logo ko khane ke liye Sara din sangharsh karna padta hai kabhi unse puchhiye ki gareebi kya hoti hai tab pata chalega ki is jeevan me kya kya hota hai. Kabhi bhi extra khana nahi banana chahiye kyoki Jo ham fek dete hai wo kisi gareeb ke pet bharne ke kam aayega .Ham log yahi sochte hai ki hamare kewal akele karne se kya hoga nahi dosto sabse pahle hame sudharna hoga yadi yahi sochakar ham chalte hai to dheere dheere sabhi log sudhar jayege .
Dosto hamari sochh yahi honi chahiye ki yadi ham bhukhe nhi rah sakte to dusra kaise rahega ham sabhi logo ko abhi se ye sochna hoga ki aaj ke bad koi bhukha nhi rahega .ham logo yadi unke liye kuchh karte hai to bhut hi sahi hoga .

Isliye dosto dhyan rahe ki kabhi nhi khana barbad nhi ho aur na hi koi bhukh ke karan mare .
Hamare aas pas koi bhi party ho ya koi bhi kam ho usme jo bhi khana bache use gareebo ko bulakar khila de kyoki bhojan barbad bhi nhi hoga aur kisi bhi insan ke pet bharne ke kam aayega. Wo log bhi aapko dua denge kyoki hame ye sochna chahiye ki kisi bhi insan ka samay palt sakta hai.
Dosto kabhi bhi insan ka ek jaisa samay bhi rhata hai is duniya me sabhi logo ki jindgi me sukh  aur dukh aate jate rahte hai yhi sansar ka niyam hai .
Ye jaruri nhi hai Jo aaj ham hai waise hi kal bhi rahege isliye kabhi bhi kisi bhi insan ko gharna bhari najar se nahi dekhana chahiye .dosto ameeri gareebi to sabhi ke jeevan me aati jati rahti hai Jo aaj gareeb hai pata nahi kal wo kitna bada insan ban jaye .
Isliye dosto kabhi bhi kisi ko heen bhawna se na dekhe .
Dosto is sansar me bhut se aise log hai jinko pet bharne ke liye bhojan nahi milta jabki wo log bhukh ke karan mar jate hai aap logo ne to dekha hoga ki bahut se road kinare apna jeevan yapan karte hai koi bhi mausam ho lekin wo log apni rate road kinare hi gujarte hai .
Dosto is duniya me sabhi logo ko aaram se jeene ka adhikar hai lekin fir bhi wo log majbooriyo ka har samay samna karte rahte hai .
Kuchh log unke vishay me sochte bhi hai lekin fir wo log ye sochne late hai ki ham akele kya kar sakte hai aisa nahi hai dosto jab ham sudhar jayege to dusre log bhi sudhar jayege .
Yhi hame apni soch rakhni chahiye aur dusre logo ko bhi jagroop karna chahiye.
Ham log ek kam to kar hi sakte hai ki sabse pahle apne ghar ko sudhare kabhi bhi extra khana nahi banana hoga Jo ki jab bachh jata hai wo daily log fekte hai har ghar ka yahi niyam hai kam bhojan bnawaye ki extra na bache kyoki wo kisi gareeb ke kam aa sakta hai .yhi hame koi bhi insan khane ke liye bole to use apni chhamta ke anusar kuchh bhi khila de .

Dosto insaniyat sabse bada dharm hai isase bada koi bhi puny nahi hai .

Please dosto me share kare.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home