Tuesday, December 31, 2019

How to get success in life

Dosto aaj ham  janege ki life me safalta kaise prapt kar sakte hai ?
Aaj is dunya me har koi insan safal hona chahta hai koi bhi insan ye nhi chahta ki mai safal vyakti na bnoo is duniya me sabhi log ye chahte hai ki mai kuchh aisa karu ki is sansar me mera nam ho jaye .
Duñiya me prateak insan kuchh alag karna chahta hai jisse uska nam ho jaye lekin dosto kuchh log to apna nam karne me safal ho jate hai aur kuchh nirash ho jate hai jab use safalta nhi milati hai aur wo log apne bhagy ko dosh dete hai yhi insan ke jeevan ki sachchayi hai .
Dosto bhagy ko dosh dene se kuchh nhi hota asal me wo log apni life se har man jate hai aur dosh apne bhagy ko dete hai . Lekin is duniya me insan khud hi apni life ko bna sakta hai matlab safalta prapt kar sakta hai aur asambhaw ko sambhaw kar sakta hai koi bhi manusha apni life ka khud hi rachyita hai
Insan jo kuchh bhi hasil karna chahta hai apne jeevan me wo sabhi kuchh paa sakta hai kewal uske pane ki jigyasha hona chahiye .Matlab use pure tan man dhan se karna pdega chahe kisi bhi kam me safalta pane ki chesta ho wo use hasil kar sakta hai.

Dosto insan ko hamesha safal hone ke liye kuchh tipps is prakar hai ______ 

Samay kabhi bhi barbad na kre ______

Dosto kisi bhi insan ko ydi safalta prapt karni hai to hamesha ye dhyan rakhna hoga ki samay ki kabhi bhi barbadi na kare yani ki apna samay bekar me na gawaye kyoki samay bahut hi mulywan hai hamesha sa apne time ko work me lagaye har insan ki jindgi me samay bahut hi mahatw rakhata hai .
Aapki life me samay bahut hi kimtee hai ydi kisi ne samay ke mulya ko nhi samjha to wo insan kabhi bhi safalta nhi prapt kar sakta hai kyoki insan ke pas kitna bhi paisa ho wo samay ko nhi khareed sakta hai matlab jo time aap free me Nikal dete hai wo kabhi wapas nhi aane wala hai .
Kyoki dosto log ye sochate hai ki ham kal se kam karege aur dheere dheere time niklta chala jata hai aur kal kabhi bhi nhi aata hai .
Dosto har insan ki life me ek time aisa aata hai ki use safal hone ka chance milta hai lekin aksar log us time me apna kam nhi karte aur time Nikal jata hai isliye safalta un logo ko nhi milti hai jo log uchit time par apna kam karte hai un logo ko safalta awshya milti hai isliye samay ko uchit kamo me lagaye kyoki samay kisi ka intjar nhi karta hai .
Isliye dosto apne samay ko kabhi bhi barbad na kare kyoki is sansar me ye sabhi se jada kimtee hai .

Life me bade sapne dekhna ____

Dosto insan ko life me sapne dekhna bahut hi jaruri hota hai wo sapne nhi jo ham sote samay dekhte hai uska koi bhi life se matlab nhi hai .
Koi bhi insan sote samay jo sapne dekhta hai uska real life se koi matlab nhi hota hai .
Dosto hame jagte hue apne sapno ko vishay me sochna hai hame apne mind me ye sochna hoga ki hamare sabhi sapne pure honge aur hame ye sochna hoga ki har halat me apni life ke sabhi sapne pure karne hai aur aapko partigya karna hoga ki hame apne sabhi sapne pure karne hai .
Dosto jis din se aap ye sochege aapki life badlna shuru ho jayegi aapki dincharya me badlaw hoga aur aap apne kam me ji Jan se jut jayege jab aap apne kisi bhi kam me kathor parishram karege to ek din usme aapko safalta jarur milegi isliye dosto bagair wakt barbad kiye bina apne kam me lag jayiye insan ka kam hai karm karna aur fal dena upper wale ka kam hai ydi aap kisi bhi kam  ko pura karne me jut jayege to use ek din jarur pura hona hoga.

Life me self confidence hona ____

Kisi bhi vyakti ki life me self confi dence hona bahut hi jaruri hai matlab jeevan me apne uper aatmviswas karna jaruri hota hai.
Jin logo me aatmviswas ki kami hoti hai wo log safalta nhi pate hai jab bhi vyakti koi bhi kam karta hai aur wo ye sochane lagta hai ki hame isme safalta milegi ki nhi milegi to wo insan ke aatmviswas ki kami ke karan hota hai aur insan apne kam ko sahi tareeke se nahi kar pata isliye wo apne kam me fel ho jata hai .
Dosto isliye aapko apne aap par bharosha hona chahiye ki hame jo bhi ham kam kar rhe hai Usme hame safalta milegi yani ki aapko full confidence ke sath kam karna hoga jo bhi aap kam kar rahe hai .
Dosto isliye aapko apne aap par pura bharosha karna hoga ki hame har halat me safalta prapt karni hai to aapko safalta nischit hi milegi .
Dosto insan ko apni life ke past ke vishay me kabhi bhi nahi sochana chahiye nhi to vyakti life me kuchh bhi nhi kar sakta kyoki har samay uske dimag me yhi chalta rahega ki mere pas pahle ye tha aur ab nhi to kabhi bhi past ke vishay me nhi soche jo time Nikal gaya hai wo kabhi bhi waps nhi aayega isliye hamesha aapko apne paresent ke vishay me sochna chahiye ki ham kya kare jisse hame safalta mile apna pura samay jo is samay hai usi ke vishay me soche aur kisi bhi kam par pura apne aap par bharosha karke kre ki is kam me safal hona hai to aapko jarur safalta milegi insan ka ydi irada pakka hai to wo nischit hi safal hoga.

Life me safal hone ke liye hard work karna ____

Dosto jindgi me yadi safalta prapt karni hai to kator mehanat aur sangharash karna hoga hame kisi bhi kam jo ham kar rahe hai us kam me kathor parishram karna hoga .apne kam me naye naye experiment karna hoga .yani apne kam ko new stayle se karna hoga jisse ki hame jaldi se safalta mil sake .
Dosto is duniya me hard work karne walo ki kabhi bhi har nhi hoti hai isliye hame kam me dhyan dena hoga aur usme mehanat karni hogi .
Dosto ydi ham koi bhi kam kar rahe hai aur usme safalta nahi milti to nirash ho jate hai lekin dosto kabhi bhi life me nirash nahi hona chahiye kyoki ydi aap kisi kam me ek bar fel bhi ho jate hai to usse aapko kuchh nayi seekh milti hai isliye life me kabhi bhi na to darna hai na hi nirash hona hai .
Ydi aap life me kisi work me sangharash kar rahe hai to aapko ek din safalta jarur milegi.

Life me safalta pane ke liye nirnay Lena ___ _

Jeevan me safalta pane ke liye faisla Lena bahut hi aawshyak hota hai aksar log apni life me nirnay nhi le pate hame kya karna chahiye .
Jeevan me yadi aap faisla lene se darte hai to kaise safalta milegi aksar log ye sochate hai ki kya karu jisse hame safalta mil jaye ydi aap yhi sochate rahege to kaise safal hoge isliye aapko kisi bhi kam ko karne ka faisla Lena hoga aur pratigya karni hogi ki hame safal hona hai dosto ydi aap kisi bhi kam ko karne se pahle darenge to kam kaise karege aur apna kimtee samay kewal sochne me nikal dege .
Dosto kyoki time bahut hi mulywan hai isko vyarth me na gawaye nhi to aap is duniya me bahut pichhad jayege kyoki is duniya me jab tak aap kisi kam ke vishay me sochege tab tak lakho log us kam ko kar chuke honge .
Isliye dosto apni life me jo bhi kam aap karna chahte hai uske vishay me turant faisla le aur apne kam me ji Jan se jut jaye kyoki samay nast karne se koi fayda nhi hai kisi bhi kam me turant safalta nhi mil jatee isliye jis kam ke vishay me aap soch rahe hai usko aaj se abhi se start kar de kyoki safal hone ke liye work to karna hi padega.

Jindgi me safal hone ke liye lakshya bnana____

Dosto life me safal hona hai to ek lakshya ( target) bnana bahut hi jaruri hota hai bagair target bnaye safalta nhi milti hai.
Isliye sabse pahle aapko kisi bhi work ko karne se pahle ek target banana hoga aur fir us target ko sochkar kam karna hoga kam ko puri mehanat aur lagan ke sath karna hoga tab khi hame aage chalkar safalta milti hai .
Dosto jindgi me bahut sare up down aate rahte hai ydi aap target lekar kam karte hai aur kisi karan bas aap usme fail ho jate hai to aapko apna aatmvishwas nhi khona hai aur aage badhte rahna hai kyoki jeevan me paresaniya to aati jati rahti hai jab ham kisi kam me fail ho jate hai to hamari jo kamiya hoti hai wo hame Janne ko milti hai aur fir ham us kam ko achchhe tareeke se karte hai isliye dosto kabhi bhi har se nirash nhi hona chahiye apne irado ko majboot karna hoga .
Kyoki aksar log jab kisi kam me fail ho jate hai to nirash hokar chupchap baith jate hai aur apne bhagy ko koste hai ki hamare bhagy me yhi likha hai asal me wo log apni life me dar jate hai .
Dosto aisa kabhi bhi nhi karna chahiye.

Janiye kaise safalta milti hai asfalta ke bad___

Dosto jeevan me safalta asfaltao ke bad hi milti hai ydi koi bhi insan kisi karan bs apne kam me asafal ho jata hai to kabhi bhi jeevan me nirash nhi hona chahiye kyoki dosto insan asafal hone ke bad nirash ho jata hai lekin kabhi bhi aaram se safalta nhi milti hai.
Jeevan me jab insan ko safalta nhi milti to usko life me aage ka rasta najar nhi aata hai aur wo insan apne bhagy ko dosh deta hai .
Lekin dosto yadi koi insan asafal hone ke bad hi safal hota hai ye samjhiye ki asafal ho rhe hai to safalta aapke bahut hi najdeek hai yani ki aapko safalta bahut hi jaldi milne wali hai isliye dosto kbhi bhi asafaltao se nhi darna chahiye .
Apko bagair dare hue apna kam karte rahna hoga aapko safalta jarur milegi .
Dosto ek cheeti ko aapne dekha hoga ki chota sa tukda lekar phad me chadhti hai aur niche wapas gir jati hai fir bhi wo uper chadh jati hai ham aap to insan hai uper wale ne dimag diya hai to ham kaise safal nhi ho sakte isliye insan ko kabhi bhi asafalta se nhi darna chahiye kyoki jitna bhi ham asafal hote hai to samajh lijiye ki safalta aapko milne wali hai kabhi bhi jeevan me darna nhi chahiye aur apne kam me kthor prishram karna chahiye aapko safalta nischit hi milegi isliye dosto aapko aage badhna hai peechhe mudkar kabhi nhi dekhana ek din aap jarur safal insan banege.

Dosto post achchhi lagi ho to share aur comment jarur kare .
Aur Janne ke liye aage aane wali post padhe.

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home