Friday, January 3, 2020

How to become a successful man with high thinking in life

Dosto ydi kisi bhi insan ko jindgi me safalta prapt karni hai to usko apni life bda sochna hoga kyoki insan ki soch pratek manushya ki jindgi me main rol ada karti hai ydi insan me sochne ki kshamata nhi hoti hai to life kuchh bhi nhi kar sakta matlab jo insan jitna  bda apni life me sochta hai wo waise hi kam karta hai .
Jo insan apne jeevan me sochh sakta hai wo sab kuchh kar sakta hai insan ko jeevan me ydi safal hona hai to usko apni sochh badlni hogi aur insan ko kabhi bhi galat soch nhi rakhni hai .
Kabhi bhi jeevan me har samay achchhi soch rakhni chahiye aur samaaj ki burayiyo se hamesha door rahna chahiye .ydi aapki soch achchhi hogi to is duniya me aapko achchhe log milege kyoki insan ki life me achche logo ke sath aap baithate hai to aap bhi achchayi ke vishay me sochege.
Dosto jeevan me safal hona hai to aapko kuchh bda sochna hoga matlab aapko apna ek target Lena hoga aur fir us target ko har samay apne dimag me sochkar kam karna hoga.

Safalta pane ke liye high thinking aur hard work jaruri ___

Dosto life me ydi safalta prapt karni hai to uchi soch honi chahiye aur insan ke vichar bhi achchhe hone chahiye galat vicharo ko apne dimag me kabhi bhi nhi lana chahiye kyoki insan ko achchhe vichar hi usko jindgi me uchayiyo tak le jate hai kabhi bhi kisi bhi insan ke vishay me galat nhi sochne chahiye kyoki ydi ham kisi bhi manushya ke liye galat sochte ya galat karte hai to hamari apni life me uska ulta prbhaw pdta hai isliye hame har samay achchhe vicharo ke sath jeena hai aur apni soch har samay achchhi rakhni hai .
Jindgi me har samy sakaratmak soch rakhni hogi kabhi bhi nakaratmak soch nhi rakhni hai ydi ham jeevan me ye sochkar koi bhi kam karte hai ki hame safal hona hai to safalta aapko awashy hi milegi samay jarur lag sakta hai lekin aap ek din safal insan nischit hi banege .
Insan ki life me uski soch ka bhut hi bda yogdan hota hai kyoki jo bhi insan jis tareeke se sochta hai wo usi tareeke se apna kam karta hai .
Dosto life me kabhi bhi apna bahumulya samay dusre ke vishay me sochkar na gawaye kyoki ydi aapne apna samay dusre insan ke bigadne me laga diya to aap kuchh bhi jeevan me nhi kar sakte is duniya me kaun kya kar rha hai uske bare me kabhi bhi na soche .
Aapko pura time apni life ke vishay me sochna hoga aur apna mind apne work me lagana hoga . Kyoki jab ham apna time kam me lgayege to hamare kam me progress hogi aur hamare kam me tarkki hogi .aur apne kam me hame safalta milegi.
Dosto koi bhi kam ho usme hame safalta tabhi milegi jab ham us kam me kathor prishram karege 
Kisi bhi kam me hard work karna bahut hi jaruri hota hai kam chhota ho ya bda hai to kam hi .Koi bhi kam chhota ya bda nhi hota hai chhota kam hi aage chalkar bda ho jata hai .
Isliye dosto ydi life me safal hona hai to koi bhi kam kare chahe wo chhota ho ya bda usko lgan aur mehnat ke sath kre kyoki dosto mehnat hamesha rang lati kabhi bhi prishram karne walo ki kbhi bhi har nhi hoti hai .
Isliye dosto kisi bhi kam me apna pura samay de aur us kam me kathor prishram kare .kyoki dosto uper wala bhi hamesha mehnat karne walo ka sath deta hai isliye dosto mehanat karne se kabhi bhi peechhe nhi hate aapko safalta nischit hi milegi .
Dosto life me hamesha ye dhyan rakhna hai ki ______

Work is worship 🙏
  
Dosto post achi lagi ho to comment aur share kre -----

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home