Thursday, January 16, 2020

How do poor pepple live their life

Dosto aaj ham ye janege ki gareeb insan kaise jindgi me apna jeevan yapn karta hai aaj bhi is sansar me bahut se gareeb log rahte hai aaj duniya me technology itnee aage badh gayi hai fir bhi abhi tak gareebi nhi khatm hui hai aaj bhi sansar me lakho log gareebi me ji rhe hai.
Dosto aaj bhi aap dekhege ki log ko pet bharne ke liye bhojan nhi milta hai aaj bhi is sansar me daily hajaro log bhukh ke karan mar jate hai .
Dosto aaj bhi logo ko apni bhukh mitane ke liye sangharsh karna padta hai aaj bhi logo ke pas na to rahne ke liye ghar hai na hi pet bharne ke liye bhojan milta hai .
Aaj bhi is duniya me kitne sare logo ki apna pet bharne ke liye din ratrat meh karni padtee hai tab khi jakar un logo ko bhojan milta hai yup
Dosto yhi sachchayi hai is duniya ki lekin fir bhi sabhi jagah ki goverment aakde alag pesh karti hai .
Duniya me bhrstachar itna badh gya hai ki jo bhi sarkar thodi si mdad bhi bhejtee hai wo bhi un logo ko nhi mil pata hai kyoki bharst log hi pahle kha jate hai unke nam ka dhidora peet kar kewal sarkare banayi jati hai aur un logo ke liye kuchh nhi kiya jata hai .
 Dosto kisi bhi insan ke liye jeevan me gareebi ek abhishap hai kyoki ki gareeb insan ko log ghrna ki drasti se dekhate hai .

Dosto kbhi kisi insan ko ghrna Bhari najr se nhi dekhna chahiye kyoki yadi ham kisi ki madad nhi kar sakte to uske bare me kyo bura bole .
Kyoki dosto kisi bhi insan ka samy badal sakta hai kyoki is sansar me sabhi insano ka samy badalta rahta hai yhi prakti ka niyam hai kyoki jo aaj hai wo kl nhi hoga samy apne kramanusar badlta rahta hai .
Dosto isliye ham sabhi ko is sansar se gareebi khatm karne ke liye kadam uthane chahiye yhi insaniyat hai kyoki insaniyat hi insan ka sabse bda dharm hai .

Dosto gareebi hatane ke liye aneko tareeke hai  __

Dosto is sansar se ydi gareebi hatana hai to uske liye aneko tareeke hai lekin un par kam kiya jaye .
Sabse pahle hamari sarkaro ko unke liye rojgar dene ke liye kadam uthane chahiye uske liye aneko karkhane kholane ki jarurat hai kyoki jab tk logo ko rojgar nhi diya jayega tab tak is duniya se gareebi nhi khatm ki ja sakti hai 

(2) Dosto ham sabhi logo ko milkar ek trst banani chahiye jisme ki log kuchh apna anudan de sake aur fir us anudan se koi kam start krna chahiye taki logo ko usse rojgar mile 
Kyoki ydi wo anudan ham gareebo me bant dete hai to kuchh bhi nhi hone wala hai kuchh din bad fir whi sthiti ho jayegi jo abhi hai isliye hame usko kisi aise kam me lagana hoga jisse ki logo ko rojgar mile jab logo ko daily kam milega to dheere dheere apne aap gareebi khatm ho jayegi .

Dosto is sansar se gareebi hatana bahut hi aniwary hai nhi to aise hi log marte rahege .

Dosto post achchhi lagi ho to like aur share jarur kare -----

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home