Saturday, January 11, 2020

What should normal people do for improve their life

Dosto is Post me ham janege ki ek sadharan insan apni life ko kaise bna sakta hai aaj ki duniya me normal jindgi bahut log jeete hai .
Aaj is duniya me adhiktar log normal life hi jeete hai ek sadharan insan apni life me jis tarh jeevan yapan karta hai wo kewal whi janta hai ki uske pas na to rahne ke liye ghar hota hai aur na hi khane ke liye khana hota hai wo kisi tarah apna gujara karta hai .
Dosto sabhi log achchhi life jeena chahte hai lekin nhi ji pate hai kyoki kabhi bhi normal insan ko apni life me ye sochna padta hai ki kal khana milega ki nhi wo kewal usi ke vishay me sochta rahta hai aur kuchh bhi wo apni life me nhi soch pata hai koi bhi sadharan insan apne dimag me ye nhi soch pata ki ham bhi ek din safal insan banege .

Normal insan ko apni soch me bdalani hogi -----

Dosto sadharan vyakti apni soch me badlaw lana hoga kyoki jab tak koi bhi insan apni soch nhi badalta to wo whi nhi to wo insan apni jindgi me kuchh nhi kar sakta hai kyoki jis insan me sochne ki shakti nhi hoti to is duniya me kuchh nhi kar sakta hai wo insan jaisi jindgi jee rha hai waise hi jeeta rahega uski life me koi badlaw nhi hoga .
Isliye dosto sadharan insan ko bhi apni sochh badalni chahiye kyoki jo ham sochh nhi sakte to karenge kaise . Is duniya me bahut se normal insan ko dekha hoga ki wo apna nam kar jate hai aur bahut logo ne kiya bhi hai .
Isliye dosto kabhi bhi apne aapko chhota mat samjje kyoki aap bhi sabhi kuchh pa sakte hai jo aap is duniya me pana chahte hai .
Akshar log jab dusre ko dekhte hai ki us insan ke pas sab kuchh hai to uske dimag me ye vichar aata hai ki mere pas bhi sabhi kuchh hota jab kisi ko dekhte hai to utne time hi kewal uske mind me vichar aata hai aur uske bad ghar aakr sabhi kochh bhool jata hai .
Kabhi bhi bhulane se koi kam nhi hota hai isliye aap jo pana chahte hai usko apne mind me ye soch lo ki hame sabhi kuchh hasil karna hai jis din se aap ye soch lenge ki usi din se aapki life badalna start ho jayegi .
Dosto akshar log ye kahte hai ki sadharan insan ke pas kuchh sochne ka time nhi hota hai kyoki wo insan morning se lekar evening tak kam karta hai to wo kab sochega nhi dosto aisa nhi hai ham mante hai ki wo insan pura samay kam karta hai lekin fir bhi uske pas sochne ke liye samay hota hai .
Dosto jab insan night me sone jata hai tab to uske pas time hota hai lekin fir bhi wo nhi sochta faltu samay apne phon me barbad kar dega ya to ulti seedhi bate sochkar yhi logo ki sachchayi hai
Likin dosto yadi life me kuchh karna hai to faltu samay barbad na kare kyoki jo time Nikal jata hai wo kabhi wapas nhi aata hai .kyoki time bahut hi mulywan hota hai iski is duniya me koi keemat nhi hoti hai na hi ise koi khareed sakta hai isliye dosto kabhi bhi apna samay barbad na kare isko apni life banane me lgaye .Tabhi aap kuchh is duniya me kar sakte hai .
Dosto aapko apne mind me har samay sote jagte ye sochna hoga jisko aap pana chahte hai yadi aap aisa karenge to aapki jindgi me nishchit hi badlaw hoga aur aap jo kuchh bhi pana chahte hai wo aapko jarur hasil hoga.

Life me samasyaye aane se kbhi bhi dare nhi___

Jeevan me samasyaye aane par kabhi bhi ghabraye nhi kyoki jab ham samasyaye aane par dar jate hai to aur ek nayi Samsya aage aa jati hai kisi bhi prakar ki samsya ho usse dare nhi ydi aap dar jate hai to samjh lijiye aur nayi samsyaye aapke jeevan me aa jayegi isliye kabhi bhi darna nhi chahiye aur kisi bhi samsya ka datkar mukabla kre ydi aap sangharash karte hai to samjh leejiye aap nischit hi ek din jeetenge .aur jab aap samsyayo se sangharash karte hai to aane wale samay me aapko safal hone se is duniya ki koi bhi takat nhi rok sakti hai aur safalta aapke Charan chumegi .
Dosto samsyaye to prateak insan ke jeevan me aati jati rahti hai aisa koi bhi insan is duniya me nhi ki wo bagir kisi problam ke ji rha ho sabhi log kisi n kisi samsyayo se ghira hua hai .
Dosto insan ki life me ydi koi samsya nhi hogi to logo ko jindgi me jeene ka mja nhi aayega.
Isliye dosto life me samsyayo ka aana jaruri hota hai kyoki bagair sangharash ke jeevan adhura hai .
Kisi insan ki life me jab koi problam aati hai to insan kuchh nya seekha hai aur iske bad jo bhi galtiya hoti thi unka sudhar karta hai tabhi insan life me aage chalkar safal hota hai.
Isliye dosto jindgi me bagair dare hue samsyayo ka datkar mukabla kre.

Life me kuchh nya karne ke liye nirantar pryas jaree rakhe___

Dosto jindgi me ydi kuchh karna chahte hai to pryas karna bahut jaruri hota hai.jindgi me bagair pryas ke kuchh bhi nhi milta hai .
Isliye insan ko apni life me nirantar prayas karte rahna chahiye tabhi saflta miltee hai kabhi bhi kam ho yadi usme safal hona hai to kathor parikhram ki aur lgatar kosish karte rahna chahiye jab tak ham us kam me safal nhi ho jate .
Aapko preshaniya jarur aayegi lekin un preshaniyo se kabhi bhi nhi dare kyoki ydi aap darkar baith gaye to kuchh bhi hath nhi aane wala hai isliye kabhi bhi bagair dare hue aapko apna kam karna chahiye ydi aap safalta pane ke liye lagatar pryas karte hai to aapko safalta awshy hi milegi .
Dosto beete hue kal ke vishay me kabhi nhi sochna chahiye kyoki jo hona tha wo aapke sath ho chuka hai wo wapas nhi aane wala hai .
Isliye har samay aapko apne present ke vishay me sochna chahiye aur bagair thake aur bagair ruke hue kam karna chahiye .
Dosto life me har samay aage badhna chahiye peechhe mudkar kabhi nhi dekhna chahiye kyoki hame yadi life me improve karna hai to har halat me aage badhna hoga . Tabhi hame safalta milegi .
Dosto jis kam me aapki sabse jyada Ruchi ho usi ko karna chahiye kyoki usme aapko safalta bhut jaldi mil sakti hai .
Isliye dosto safalta pane ke liye har samay pryas karte rhe .

Dosto post ko share aur comment jarur kare __

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home