Saturday, November 30, 2019

How to become a rich man

Jindgi me kisi bhi manushya ko Ameer aadmi banne ke liye bhut hi sangharsh karna padta hai.waise to is duniya me sabhi koi Ameer vyakti Banna chahta hai.Is duniya me bahut hi kam log honge ki ameer banne ki chaht na rakhate ho.
Lekin sabhi log Ameer to Banna chahte hai.par dosto koi bhi insan sangharsh nhi karna chahta hai bagair sangharsh ke ham Ameer kaise  ban payege.
Ameer insan banne ke liye aapko apna koi kam chunna padega his kam me aapko jankari ho .yadi aap koi Naya kam kar rhe hai to aap us vishay me khi se bhi jankari prapt kar leni
chahiye Fir us kam ko shuru kare .
Ameer insan banne ke liye aapko apna lakshya nirdharit karna hoga aur fir hame apna kam karna hoga.kyoki hamare pas koi lakshya hi nhi hai to ham safalta kaise prapt karege
Uske bad hame apne kam par pura dhyan Dena hoga kyoki jab ham koi lakshay lekar kam karte hai to us kam me ham apna samay dete hai.
Dosto fir bhi kuchh log kam to shuru kar dete hai lekin usme dhyan nhi dete hai bad me Bolte hai ki kam sahi nhi chal rha Usme Hani ho Rahi hai.kisi bhi kam me ham dhyan nahi denge to hame saflta kaise milegi .
Jeevan me insan ko apne lakshya ko note kar Lena hai ya to kahi bhi likhakar rakh de jaha har samay wo aapko dikhayi de jab hame daily lakshya likha hua dikhai dega tab aapka dimag usi ke anusar kam karega .
Dosto lakshya kitna bhi bda ho ek din usko pura hona hoga ye bilkul hi nischit hai .
Jeevan me kisi kam ko karne me aneko samsyae to aati rahti hai lekin kabhi bhi nirash nhi hona chahiye .Apko apne lakshya ko dhyan me rakhkar kam krna hoga aap ko safalta jarur milegi aur aap ek din safal vyakti jarur banege.
Is duniya me sabhi insano ki jindagi me ameeri gareebi to aati jati jati rahti hai par kabhi bhi bhatkna nhi chahiye ye to jeevan ka niyam hai isase hame kabhi nhi darna chahiye .
Is sansar me koi bhi insan janm se Ameer nhi hota hai yahi isi duniya me aakr Banta hai.
Dosto hame apne lakshya me safalta pane ke liye hame aage ke bhavishya ke bare me sochna hai aur kabhi bhi turant laabh ke bare me nhi sochna kabhi bhi koi bhi Ameer vyakti turant yani usi samay ke bare me nhi sochta wo hamesha aage aane wale samay ko sochkr kam karta hai isliye wo usme safalta prapt karta hai aur jab tak use safalta nhi milti wo us kam me sangharsh karta rahta hai.
Jab tak unhe us kam me safalta nhi mil jati hai tab tak us kam ko karta rahta hai.Aur aam insan kya karta hai aaj kam ko karega kuchh samay bad usko band kar deta hai .bhai kisi bhi kam me turant safalta nhi milti hai us kam me sangharsh karna padta hai tab jakar khi safalta milti hai.

Friday, November 29, 2019

Safalta hasil krane ka sangharsh

Jindagi me insan ko safalta pane ke liye kisi kam me sangharsh jarur krna padta hai .Lekin hame is sansar me safalta pane ke liye kisi bhi insan ko apna target Lena bahut jaruri hai.Sabse pahle yadi ham koi kam ko start karte hai.
To kam ko start karne se pahle us kam ke vishay me jankari jarur le le.kyoki ki yadi ham koi NB bhi kam bagair jankari ke karte hai to hame us kam me safalta milne me bhut samay lag sakata hai .
Jab kisi kam ki jankari Hoti hai .To hame us kam me jaldi safalta milati hai.
Dosto kisi bhi kam ko apne tarike se karna chahiye apko jo bhi tarika sabse sahi lage usme hi hamesha chalna chahiye .
Kyoki jab ap kisi kam ko start karte hai to bahut log wha aa jate hai apne apne bichar batane .kabhi bhi insan ko dusare ke vicharo me nahi aana chahiye .kyoki yadi aap dusre ke vicharo ko sunane lagte hai .To aapke dimag me aneko vichar aane lagte hai.Aur ap apne kam ko sahi tarike se nahi kar pate hai .Jo ki hame kabhi bhi nhi karna chahiye .
Aapko hamesha apne kam me dhyan Dena chahiye .
Is sansar me koi kam chota ya bda nhi hota kabhi bhi apne dimag me ye vichar nahi laye ki ye kam chota hai .kyoki log hamesha Bolte rahte hai ki bda kam karege wo log bada kam khojte khojte apna samay barbad karte hai aur kuch bhi nhi karte hai.
Aur apna kimti samay barbad karte hai.
Kabhi bhi insan ko yadi safal hona hai .To aap turant faisla le aur apne kam me lag Jaye kyoki apne samay ko faltu barbad nhi kare kam chota ho bda use turant shuru kar de yadi aap chhote kam se bhi shuruaat karte hai to wo bhi ek din bda jarur hoga
Dosto kabhi bhi apna kimti samay nasht na kre aur apne kam par turant lag Jaye.
Apko safalta jarur milegi.


Aage aur Janne ke liy pleas sare post paste rhe.



   Thank u

Monday, November 25, 2019

Life me safalta ke idea

Jindgi me har koi safal hone ke idea ke bare me sochata h"
Lekin koi bhi inasan ye nhi chahta ki ham kabhi bhi asfal ho
Lekin koi bhi insan kam nhi krna chahta aur sochta hai ham Abhi sabse 
Safal aadami ban Jaye 
Lekin dosto ham kewal sochane se safal insan nhi  ban jate hai
hame hard work karna padta hai
Safal hone ke liye sabse pahle hame target Lena padega aur fir hard work 
Karna padega 
Sabse pahle hame kisi kam kam ka target Lena hoga jitna ham chahte hai
Fir usame kam krna hoga kam chota ho bda ham aage chalkar us kam me parfect ho jate hai
 Hame safal hone ke liye sabse pahle chota kam karna hoga aur aage chalkar dheere dheere us kam ko bda karna hoga 
Kyoki yadi ham pahle se kisi kam me b ada invest karte hai to jaruri nhi hai ki us kam me ham safal ho Jaye aur yadi ham safal nhi hote to hame bada loss hota hai uske bad me kewal ham sochte rah jate hai
Isliye hame kisi kam me chota invest Karne se koi problam nhi hoti 
Safal hone ke liye sabse pahle chhota kam se start karna chahiye lekin target hamesha bda Lena chahiye dosto ek din ham jarur safal hoge

Dosto life me safalta ke tipps --------

(1) Dosto yadi life me safal hona hai to kabhi bhi jeevan me faisla lene se nhi darna chahiye kyoki ydi ham kewl ye sochte rhege ki kya kam kre jisse hame safalta mil jaye to kewl sochte hi rah jayege .
Isliye koi bhi kam ho turant nirnay le aur apna kam chalu kar de kyoki ydi sochne me apna bahumulya samy nast kar denge to hme kaise safalta milegi .
Isliye koi bhi kam ydi start kar dete hai to kuchh to hame milega hi aur yadi baithe rhe to kuchh bhi nhi milne wala hai .

(2) Dosto koi bhi kam kare use imandari ke sath kare kyoki satya ki rah par chalne walo ki hamesha jeet hoti hai.
Kabhi bhi jhuth ka sahara na le nhi to aapko thode samy ke liye to khushi mil saktee hai par wo adhik din tak nhi tikne wali hai .
Isliye kabhi bhi asaty ka sahara na le hamesha satya ki rah par chalne ki kosish kare kyoki jeevn me satya ki rah par chalne walo ki jeet hoti hai.

(3) Dosto kisi bhi kam ko mehnat aur lagan ke sath kare kyoki kthor parishram karne se hame safalta nishchit hi milegi .
Mehanat se kamaya hua dhan rukta hai aur bagair mehnat ke jo dhan kamaya jata hai wo kisi bhi insan ke pas jyada din tak nhi rukta hai .
Isliye apne kam me kthor parishram kare ek din aapko safalta awshya hi milegi .

Dosto post achchhi lagi ho to coment aur share jarur kare __

Saturday, November 23, 2019

Jeevan ek sangharsh

Jeevan ek sangharsh hai
Jeevan me insan ko hamesha karm krte rhna chahiye
Kyoki inasan ko apne karm par biswas krna chahiye
Na ki bhagy par kyoki karm hi bhagy ka nirmata hai
Ydi ham kam kisi bhi sabject me krate hai to hame fal
Jarur milta hai
Ho sakta hai ki fal Milne me samay lag Jaye lekin kabhi
Bhee nirash nhi hona chahiye apne kam par dhyan de
Dusre ki bato par kabhi bhee na aaye apne dimag se kam Kare
Kabhi bhee kisi kam se har na mane jeevan me safalta jarur milegi
Hamesha kisi ka samay sahi nhi hota yadi hamare jeevan me sangharsh to
Aate jate rahte hai jitana bhi ham jindgee me sangharsh karte hai
Utana hi safalta hamare najdeek hoti hai
Koi insan jis kam me jitna Jada sangharsh krata hai
Us kam me utni Jada saflta milti hai
Lekin kabhi bhi har nhi mane saflta aapke kadam chumegi iske aneko udaharan hai
Jitne bhi world me Ameer insan hai un sabhi logo ne apne kam me
Bahut sangharsh Kiya hai tab wo aaj safal hue hai



Aage ki post pdhe ____

Friday, November 22, 2019

Sangharsh hi jindgi ki safalta ki seedhee hai

Jindgi ki safalata ke mantra                                                       
Jeevan me sangharsh hota hai tabhi manushya jindagi me jeene
Ka lachhya hasil kar pata hai
Yadi jeevan me sangharsh nhi hai to koi bhi manushya is duniya me asalee Gyan nhi prapt be kar pata hai
Kyoki jab Tak insan ke jeevan me sangharsh nahi hai
To wo kisee kam ka anubhaw nhi prapt kar pata aur jab Tak kisee kam ki poori jankari nhi hoti to us kam me home saflta Milne ke Chan's kam rah jate hai
Gyan hi insan ko safalata ki seedhee Tak le jata hai

Manushya ko jindgi me aisee aisee kathinayio ka samna krna pan jata hai
Ki koi bhi nhi Socha ki aisa samay aayega lekin jindagi ka ye Sach hai ki har insan ki life me sukh aur dukh aate jate hai

Par kabhi bhi insan ko har nhi manana chahiye kyoki ydi Jo ham soch sakte hai to use pura bhee hona hoga samay jarur lag sakta hai lekin wo Sach pura hoga
Jeevan me kathinayio se samna to hota rhega lekin ydi ham usi kam me lge rahte hai
To wo jarur pura hoga
Kabhi bhi har nhi mane aur apne dimag me soch le ki hme safal hona hai

 To safalta apko handred percent milegi

Sangharash ke bagair jindgi adhuri hai___ 

Dosto prateak insan ke jeevan me kisi na kisi tarh ka sangharsh bana rahta hai lekin dosto jiski bhi life me sangharsh nhi hai to uska jeevan adhura hai .

Kyoki dosto sangharsh ke bagair ham kabhi bhi apne lakshya ko hasil nhi kar sakte hai.
Isliye dosto life me sangharsh krna bahut hi jaruri hai .
Wo kisi bhi tarh ka sangharsh ho sakta hai .

Dosto yadi jeevan me kuchh pana chahte hai to sangharsh karne se kabhi bhi pechhe nhi hatna chahiye .
Kyoki dosto insan ka janm kuchh karne ke liye uper wala karta hai .Isliye dosto jindgi me jitni bhi pareshaniya aati hai aur jo log un pareshaniyo se nhi darte aur unka datkar mukabla karte karte hai whi log aage jakr nya itihas banate hai 
Isliye dosto kabhi bhi jeevan me sangharsho se darkar nhi datkar mukabla karna chahiye .
Ek din aap nischit hi aap safalta prapt krenge .

Thursday, November 21, 2019

What is life

Sabhi manushya ke jeevan me sangharsh hi jindgi ka mool mantra h. Jindgi me sangharsh ke   bagair manushya ka jeevan adura hai, lekin jindgi me manushya ko kabhi bhi nirash nhi hona chahiye kyoki manushya ki jindgi me jitna sangharsh hota h wo manushya utna hi Gyan prapat krata hai ..

Life kise kahte hai _____

Dosto jeevan ek game ki tarah hai is jindgi me kisi bhi insan ko apni life ke subject me kuchh bhi pta nhi pta nhi hota ki kal kya hoga ya hone wala hai is duniya kisi bhi insan ko kuchh bhi nhi malum hota ki aane wale kal me kya hoga .
Insan kewal apni jindgi me ek game ki tarah khelta rahta hai .jis din se insan ka janm hota hai usi din se uske jivan me aneko game shuru ho jate hai wo apni life me kal ke vishay me sochta rahta hai .
Jivan me kabhi Khushi rahtee hai to kabhi pareshaniya yahi jivan ki satyata hai .
Dosto insan ko apni life me  aneko sangharsho ka samna karna padta hai .
Jab wo small hota hai to use padhayi ka struggle aur iske bad naukri ka problam aneko samsyayo ka samna karna padta hai insan ek khiladi ki tarah idhar udhar bas khelta rahta hai .
Yhi sabhi insano ke jeevan ki sachchayi hai  kisi bhi manushay ke jeevan me aneko sangharash aate rahte hai aur insan apni poori life me pareshaniyio se ladta rahta hai ye sabhi insano ke jeevan ki sachchayi hai .jo insan paresaniya aane par unse dar jata hai to wo kabhi bhi sucess nhi hota aur Jo insan apne life me pareshaniyio se ladta rahta hai wo jindgi me safal ho jata hai .
Yhi sabhi ke jeevan ki story hai kisi Ko bhi malum nhi hota hai ki kal kya hone wala hai mn sabhi log jeevan me apna apna karm karte hai yhi sabhi insan ke jeevan ka sar hai .
Dosto sangharash ka Nam hi jeevan hai .

Labels: