Tuesday, December 31, 2019

How to get success in life

Dosto aaj ham  janege ki life me safalta kaise prapt kar sakte hai ?
Aaj is dunya me har koi insan safal hona chahta hai koi bhi insan ye nhi chahta ki mai safal vyakti na bnoo is duniya me sabhi log ye chahte hai ki mai kuchh aisa karu ki is sansar me mera nam ho jaye .
Duñiya me prateak insan kuchh alag karna chahta hai jisse uska nam ho jaye lekin dosto kuchh log to apna nam karne me safal ho jate hai aur kuchh nirash ho jate hai jab use safalta nhi milati hai aur wo log apne bhagy ko dosh dete hai yhi insan ke jeevan ki sachchayi hai .
Dosto bhagy ko dosh dene se kuchh nhi hota asal me wo log apni life se har man jate hai aur dosh apne bhagy ko dete hai . Lekin is duniya me insan khud hi apni life ko bna sakta hai matlab safalta prapt kar sakta hai aur asambhaw ko sambhaw kar sakta hai koi bhi manusha apni life ka khud hi rachyita hai
Insan jo kuchh bhi hasil karna chahta hai apne jeevan me wo sabhi kuchh paa sakta hai kewal uske pane ki jigyasha hona chahiye .Matlab use pure tan man dhan se karna pdega chahe kisi bhi kam me safalta pane ki chesta ho wo use hasil kar sakta hai.

Dosto insan ko hamesha safal hone ke liye kuchh tipps is prakar hai ______ 

Samay kabhi bhi barbad na kre ______

Dosto kisi bhi insan ko ydi safalta prapt karni hai to hamesha ye dhyan rakhna hoga ki samay ki kabhi bhi barbadi na kare yani ki apna samay bekar me na gawaye kyoki samay bahut hi mulywan hai hamesha sa apne time ko work me lagaye har insan ki jindgi me samay bahut hi mahatw rakhata hai .
Aapki life me samay bahut hi kimtee hai ydi kisi ne samay ke mulya ko nhi samjha to wo insan kabhi bhi safalta nhi prapt kar sakta hai kyoki insan ke pas kitna bhi paisa ho wo samay ko nhi khareed sakta hai matlab jo time aap free me Nikal dete hai wo kabhi wapas nhi aane wala hai .
Kyoki dosto log ye sochate hai ki ham kal se kam karege aur dheere dheere time niklta chala jata hai aur kal kabhi bhi nhi aata hai .
Dosto har insan ki life me ek time aisa aata hai ki use safal hone ka chance milta hai lekin aksar log us time me apna kam nhi karte aur time Nikal jata hai isliye safalta un logo ko nhi milti hai jo log uchit time par apna kam karte hai un logo ko safalta awshya milti hai isliye samay ko uchit kamo me lagaye kyoki samay kisi ka intjar nhi karta hai .
Isliye dosto apne samay ko kabhi bhi barbad na kare kyoki is sansar me ye sabhi se jada kimtee hai .

Life me bade sapne dekhna ____

Dosto insan ko life me sapne dekhna bahut hi jaruri hota hai wo sapne nhi jo ham sote samay dekhte hai uska koi bhi life se matlab nhi hai .
Koi bhi insan sote samay jo sapne dekhta hai uska real life se koi matlab nhi hota hai .
Dosto hame jagte hue apne sapno ko vishay me sochna hai hame apne mind me ye sochna hoga ki hamare sabhi sapne pure honge aur hame ye sochna hoga ki har halat me apni life ke sabhi sapne pure karne hai aur aapko partigya karna hoga ki hame apne sabhi sapne pure karne hai .
Dosto jis din se aap ye sochege aapki life badlna shuru ho jayegi aapki dincharya me badlaw hoga aur aap apne kam me ji Jan se jut jayege jab aap apne kisi bhi kam me kathor parishram karege to ek din usme aapko safalta jarur milegi isliye dosto bagair wakt barbad kiye bina apne kam me lag jayiye insan ka kam hai karm karna aur fal dena upper wale ka kam hai ydi aap kisi bhi kam  ko pura karne me jut jayege to use ek din jarur pura hona hoga.

Life me self confidence hona ____

Kisi bhi vyakti ki life me self confi dence hona bahut hi jaruri hai matlab jeevan me apne uper aatmviswas karna jaruri hota hai.
Jin logo me aatmviswas ki kami hoti hai wo log safalta nhi pate hai jab bhi vyakti koi bhi kam karta hai aur wo ye sochane lagta hai ki hame isme safalta milegi ki nhi milegi to wo insan ke aatmviswas ki kami ke karan hota hai aur insan apne kam ko sahi tareeke se nahi kar pata isliye wo apne kam me fel ho jata hai .
Dosto isliye aapko apne aap par bharosha hona chahiye ki hame jo bhi ham kam kar rhe hai Usme hame safalta milegi yani ki aapko full confidence ke sath kam karna hoga jo bhi aap kam kar rahe hai .
Dosto isliye aapko apne aap par pura bharosha karna hoga ki hame har halat me safalta prapt karni hai to aapko safalta nischit hi milegi .
Dosto insan ko apni life ke past ke vishay me kabhi bhi nahi sochana chahiye nhi to vyakti life me kuchh bhi nhi kar sakta kyoki har samay uske dimag me yhi chalta rahega ki mere pas pahle ye tha aur ab nhi to kabhi bhi past ke vishay me nhi soche jo time Nikal gaya hai wo kabhi bhi waps nhi aayega isliye hamesha aapko apne paresent ke vishay me sochna chahiye ki ham kya kare jisse hame safalta mile apna pura samay jo is samay hai usi ke vishay me soche aur kisi bhi kam par pura apne aap par bharosha karke kre ki is kam me safal hona hai to aapko jarur safalta milegi insan ka ydi irada pakka hai to wo nischit hi safal hoga.

Life me safal hone ke liye hard work karna ____

Dosto jindgi me yadi safalta prapt karni hai to kator mehanat aur sangharash karna hoga hame kisi bhi kam jo ham kar rahe hai us kam me kathor parishram karna hoga .apne kam me naye naye experiment karna hoga .yani apne kam ko new stayle se karna hoga jisse ki hame jaldi se safalta mil sake .
Dosto is duniya me hard work karne walo ki kabhi bhi har nhi hoti hai isliye hame kam me dhyan dena hoga aur usme mehanat karni hogi .
Dosto ydi ham koi bhi kam kar rahe hai aur usme safalta nahi milti to nirash ho jate hai lekin dosto kabhi bhi life me nirash nahi hona chahiye kyoki ydi aap kisi kam me ek bar fel bhi ho jate hai to usse aapko kuchh nayi seekh milti hai isliye life me kabhi bhi na to darna hai na hi nirash hona hai .
Ydi aap life me kisi work me sangharash kar rahe hai to aapko ek din safalta jarur milegi.

Life me safalta pane ke liye nirnay Lena ___ _

Jeevan me safalta pane ke liye faisla Lena bahut hi aawshyak hota hai aksar log apni life me nirnay nhi le pate hame kya karna chahiye .
Jeevan me yadi aap faisla lene se darte hai to kaise safalta milegi aksar log ye sochate hai ki kya karu jisse hame safalta mil jaye ydi aap yhi sochate rahege to kaise safal hoge isliye aapko kisi bhi kam ko karne ka faisla Lena hoga aur pratigya karni hogi ki hame safal hona hai dosto ydi aap kisi bhi kam ko karne se pahle darenge to kam kaise karege aur apna kimtee samay kewal sochne me nikal dege .
Dosto kyoki time bahut hi mulywan hai isko vyarth me na gawaye nhi to aap is duniya me bahut pichhad jayege kyoki is duniya me jab tak aap kisi kam ke vishay me sochege tab tak lakho log us kam ko kar chuke honge .
Isliye dosto apni life me jo bhi kam aap karna chahte hai uske vishay me turant faisla le aur apne kam me ji Jan se jut jaye kyoki samay nast karne se koi fayda nhi hai kisi bhi kam me turant safalta nhi mil jatee isliye jis kam ke vishay me aap soch rahe hai usko aaj se abhi se start kar de kyoki safal hone ke liye work to karna hi padega.

Jindgi me safal hone ke liye lakshya bnana____

Dosto life me safal hona hai to ek lakshya ( target) bnana bahut hi jaruri hota hai bagair target bnaye safalta nhi milti hai.
Isliye sabse pahle aapko kisi bhi work ko karne se pahle ek target banana hoga aur fir us target ko sochkar kam karna hoga kam ko puri mehanat aur lagan ke sath karna hoga tab khi hame aage chalkar safalta milti hai .
Dosto jindgi me bahut sare up down aate rahte hai ydi aap target lekar kam karte hai aur kisi karan bas aap usme fail ho jate hai to aapko apna aatmvishwas nhi khona hai aur aage badhte rahna hai kyoki jeevan me paresaniya to aati jati rahti hai jab ham kisi kam me fail ho jate hai to hamari jo kamiya hoti hai wo hame Janne ko milti hai aur fir ham us kam ko achchhe tareeke se karte hai isliye dosto kabhi bhi har se nirash nhi hona chahiye apne irado ko majboot karna hoga .
Kyoki aksar log jab kisi kam me fail ho jate hai to nirash hokar chupchap baith jate hai aur apne bhagy ko koste hai ki hamare bhagy me yhi likha hai asal me wo log apni life me dar jate hai .
Dosto aisa kabhi bhi nhi karna chahiye.

Janiye kaise safalta milti hai asfalta ke bad___

Dosto jeevan me safalta asfaltao ke bad hi milti hai ydi koi bhi insan kisi karan bs apne kam me asafal ho jata hai to kabhi bhi jeevan me nirash nhi hona chahiye kyoki dosto insan asafal hone ke bad nirash ho jata hai lekin kabhi bhi aaram se safalta nhi milti hai.
Jeevan me jab insan ko safalta nhi milti to usko life me aage ka rasta najar nhi aata hai aur wo insan apne bhagy ko dosh deta hai .
Lekin dosto yadi koi insan asafal hone ke bad hi safal hota hai ye samjhiye ki asafal ho rhe hai to safalta aapke bahut hi najdeek hai yani ki aapko safalta bahut hi jaldi milne wali hai isliye dosto kbhi bhi asafaltao se nhi darna chahiye .
Apko bagair dare hue apna kam karte rahna hoga aapko safalta jarur milegi .
Dosto ek cheeti ko aapne dekha hoga ki chota sa tukda lekar phad me chadhti hai aur niche wapas gir jati hai fir bhi wo uper chadh jati hai ham aap to insan hai uper wale ne dimag diya hai to ham kaise safal nhi ho sakte isliye insan ko kabhi bhi asafalta se nhi darna chahiye kyoki jitna bhi ham asafal hote hai to samajh lijiye ki safalta aapko milne wali hai kabhi bhi jeevan me darna nhi chahiye aur apne kam me kthor prishram karna chahiye aapko safalta nischit hi milegi isliye dosto aapko aage badhna hai peechhe mudkar kabhi nhi dekhana ek din aap jarur safal insan banege.

Dosto post achchhi lagi ho to share aur comment jarur kare .
Aur Janne ke liye aage aane wali post padhe.

Friday, December 20, 2019

What should human do and what not to do in their life

Insan ko apni life ko safal banane ke liye kya karna chahiye aur jeevan me kya khi karna chahiye.
Dosto is duniya me koi bhi insan aisa nhi hai Jo ki apni life ko safal na banana chahta ho
Is sansar me sabhi vyakti safal hona chahte hai . Lekin sabhi insan ye chahte hai ki hame bagair work kiye safalta mil jaye aur mai ameer insan ban jaoo . aap logo ne is duniya me safal vyaktiyo ko dekha hoga wo log hard work karte hai un logo ke pas time kam pad jata hai kam karne ke liye .lekin adhikansh log ye sochate hai ki ham aaram se baithe baithe safalta prapt kar le .
Lekin kabhi kisi bhi insan ko sadharan tareeke se safalta nhi milti hai safal hone ke liye hame struggle karna padta hai. Aur safalta pane ke liye hame sahi disha me kam karna hota hai , yani ki kisi bhi kam ko shi tareeke se karna hota hai. Safalta market me milne wala koi saman to nhi hai jise jab bhi aap chahege to khareed lenge isko pane ke liye bahut hi sangharsh karna pasta hai .

Dosto chaliye ham ye jante hai ki hame safalta pane ke liye kya karna chahiye.

(1) _ Life me safalta prapt karni hai to aapko signal chalna hoga.

 Dosto yadi hame safalta kisi bhi kam me prapt karni hai to hame har samay akele chalna hoga matlab hame kisi ka bhi sath nhi Lena hai aur har samay apne mind se kam karna hoga ,yani ki kisi bhi dusre insan ki adwise hame nhi Lena chahiye kyoki jab bhi dusra vyakti aapko adwise dega to wo apne dimag se dega aur usme hamra mind badal jata hai aur ham ye sochne lagte hai ki hame ye kam karna chahiye ya nhi aur ham kisi bhi kam ki shuruaat nhi karte aur time gujarta chala jata hai .
Yadi ham kisi kam ko start hi nhi karege to ham kaise safal honge isliye hame bagair kisi ke adwise ke Jo kam aapko karna hai use turant start kar dijiye kyoki aaj ki duniya me comptison bahut hi Jada hai isliye hame kam ko abhi se start karna hoga nhi to ham jitna kam ko der se krenge utna ham peechhe hote chale jayege isliye dosto kisi bhi kam ko karna hai aur safal hona hai to time mat barbad kijiye aur shuru kijiye jitna fast ho sake kyoki kal kbhi bhi nhi aata hai .

(2). Apne target ke liye yojna bnana aur dhairya bnaye rakhna hoga _

Dosto kisi bhi kam ko karne se pahle yojna bnana bahut hi jaruri hai kisi bhi subject me yadi safal hona hai to aapko yojna bna leni chahiye kyoki bagair yojna ke koi bhi kam safal nhi hota hai aur apna lakshya nirdharit karna hoga ki hame ye work karna hai apna dimag idhar udhar na bhatkaye apne lakshay ko lekar kam karna start kar Dena chahiye .Kyoki akshar log dusre logo ko dekhkar bhatk jate hai matlab ye ki log dusre ke kam ko dekhkar sochne lagte hai ki ye kam Shi hai .Lekin kabhi bhi dusre ko dekhkar koi bhi kam nhi karna chahiye kyoki usse hamara mind Shi tareeke se kam nhi karta hai .
Apko jo bhi kam sabse achchha lagta ho usi kam ko aap ko karna chahiye aur dusre kisi ke kam ko dekhkar nhi karna chahiye .
Aapki jis kam me sabse Jada Ruchi rakhte hai usi kam ko karna chahiye kyoki sabhi insano ki Ruchi alag Hoti hai isliye aapki Ruchi jis bhi work me sabse adhik ho usi kam ko kare kyoki jis kam me hamari Ruchi adhik Hoti hai us kam ko ham sahi tareeke se kar pate hai .
Dosto kam small ho ya big koi bhi kam chhota ya bda nhi hota hai isliye jisme bhi aapki Ruchi sabse adhik ho usi kam ko kare .
Dosto kyoki small kam bhi hoga to wo bhi aage aane wale time me big ho jayega ydi hamari us kam me Ruchi Hoti hai to aur hame saflta nischit hi milegi Lekin hamesha ye dhyan rkhna hoga ki pareshaniya aayegi to datkar mukabla kre kabhi bhi har nhi manani chahiye kyoki jo bhi insan preshaniyo se dar jata hai to wo safal nhi ho sakta is life me isliye kabhi bhi darna nhi chahiye .Aur dosto kabhi bhi apna dharya nhi khona chahiye hamesha dharya banaye rkhana hoga .

(3)_ Nirantar pryas karte rahna 

Dosto ydi hame safalta kisi bhi kam me prapt karni hai to hame lgatar pryas karte rahna chahiye kisi bhi kam me turant saflta nhi milti hai ho sakta hai aap jo bhi kam kar rhe hai Usme bahut saree samasyaye aa jaye lekin hame sabhi pareshaniya se ladkar aage badhna chahiye kyoki ye to aati jati rahtee hai inse kabhi bhi har nhi manni chahiye kyoki jitni bhi kathinayio se ham ladkar aage badhege utna hamara aatmvishwas badhega aur ham apne kam me aur b kihi nipun hote chale jayege .aap jab preshaniyo se nhi darege to aage jakar safalta nishchit hi milegi aur aap safal insan banege .
Dosto isliye pryas karte rahna chahiye jab tak ki hame safalta nhi mil jati hai yadi aap pryas karte rahege to ek din safalta aapke Charan chumegi .kyoki Nirantar pryas karte rahne se aap jarur safal insan banege.

Dosto aur Janne ke liye aage aane wali post padhe ___

Please dosto me share kre ___

Saturday, December 14, 2019

How can a poor man become a rich man in this word

Dosto ----
Aaj ham ye janege ki ek gareeb insan is duniya me kaise ameer insan ban sakta hai.
Aaj ki duniya me kaun aisa manushay hai joki ameer nhi banana chahta hai.is duniya me sabhi log ameer banna chahte hai lekin fir bhi ameer bhut kam log hai .Aur gareeb bhut se log hai .Is duniya me ek chauthai log ameer log hoge baki sabhi log gareeb hai .
Aaj ki duniya me ameer aur ameer banta chala ja rha hai aur gareeb aur gareeb hota chala ja rha hai.Iske kya karan hai ki aisa ho rha hai .
Gareebo ke pas na to koi rojgar hai na hi koi sansadhan ydi gareebo ko rojgar mile to wo log bhi kuchh kar sakte hai .kisi bhi sadharan insan ko ydi daily rojgar nhi milega to wo ameer banna to door ki bat hai wo apne pariwar ka palan poshan kaise karega .lekin sachchai yhi hai is duniya ki lekin inke liye koi kuchh bhi nhi karta hai .
Dosto is sansar me gareebi hone ka men karan ye bhi hai ki jansakhya ka adhik hona aap log ye dekhege ki ameer aadmi ke bachche kam honge aur gareeb ke pas Jada honge.
Hame ye soch badlni hogi ki chota parivar hamesha sukhi rahta hai .

Dosto ek sadharan insan bhi ameer aadmi ban sakta hai chaliye jante hai kaise gareeb insan insan ameer ban sakta hai .
Sabse pahle hame ye sochna hoga ki hamari main manjil kya hai aap ekant me baithkar sochiye ki hame ye pana hai .uske liye aap notebook le aur usme apna target likh kar rakh de .ki hamare pas kya kya hona chahiye .matlab wo sabhi cheeje Jo aap pana chahte hai . jis par ye likha hai wo hamare samne rahna chahiye matlab jis samay aap sokar jagte hai to aapki najar usme padni chahiye aur jab aap sone ja rahe ho tab bhi wo aapke samne hi rahna chahiye .
Aap jis time sone jate hai to ye sochkar soye ki mai kaun hu .yani ki aap ko ye sochna hoga ki mai sab kuchh pa sakta hu matlab Jo mai soch sakta hu wo mai hasil kar sakta hu .aapko daily sote samay ye sochna hoga jis samay aapko neend aa rhi ho us samay ye roj aapko sochna hoga aur kabhi bhi nkaratmak vichar apne man me na soche har Sam sakaratmak vichar hi soche yani ki kabhi aapke dimag me negative vichar nahi hone chahiye .
Yadi aap har samy postiv sochte hai to hamare shareer me nayi urja utpan hoti hai aur hamare vichar bhi badlane lagte hai .jab hamare vichar badlege to ham usi ke anusar kam karege .jeevan me yadi bada insan banana hai to hame apne vichar badlane hoge aur har samy aapke samne aapka target dikhai dena chahiye jab ham kisi target ko mind me lekar kam karte hai to nischit hi pura hota hai .
Is sansar me Jo kuchh bhi insan soch sakta hai to wo use pura bhi kar sakta hai .
Dosto apne dimag me ye than lo ki hame har halat me ameer insan banana hai to aap jarur ek din safalta prapt karege.
Dosto ye bilkul sahi hai ki -----------

Jeet aur har
Aapki soch par nirbhar karti hai
Man lo to har hogee
 Than lo to jeet hogee .

Dosto yadi ham pahle hi negative vichar dimag me layege to layege yo hame kaise safalta milegi .Isliye hame kabhi bhi negative vichar  dimag me nhi Lana aur har samay hame sakaratmak vichar hi dimag Lana hoga .
Aur kabhi bhi sangharsh karne se peechhe nhi hatna hai yani ki mehnat karne se peechhe nhi hatna hai .

Dosto -------

Karmbhoomi ki duniya me -----
Parikshram sabhi ko ko karna pasta hai ! ----
" god sirph lakeere deta hai par ------
Rang to hame hi bharna pasta hai !

Isliye dosto karm kariye sangharsh karne se peechhe mat hatiye apna kam hai karm karna fal dena to upper wale ka kam hai yadi ham karm karege to hame fal nishchit hi milega ydi peechhe hatege to kuchh bhi nhi milega .
Dosto yadi aap karm karege to ek din aap bhi ameer insan banene aur aapko duniya ki koi bhi takat ameer banne se nhi rok sakti hai.

Please share kare ......

Wednesday, December 11, 2019

How do some people struggle and wrote history in this world

Jindgi me insan Jo kuchh bhi hasil karna chahta hai WO sabhi kuchh hasil kar Santa hai.
Dosto insan apne jeevan me Jo kuchh pana chahta hai WO sabhi kuchh hasil kar Sakta hai.
Lekin dosto usko pane ke liye sangharsh karna padta hai.
Aaj ham dosto is post me ye janege ki kosis karenge ki ek simple insan bhi apna name duniya me roshan kar sakta hai aur naya itihas bna sakta hai .
Dosto jindgi me kuchh karne ya pane ke liye sabse pahle ye kam karna chahiye ki manushay ko sabse pahle apne aap se sangharsh karna padta hai .Matlab insan ko apne vichharo se sangharsh karna padega.
Kyoki manushay ke mind me hamesha aneko vichar aate rahte hai unme se kuchh satru aur mitr hote hai .yani ki insan ki jindgi me two prkar ke vichar hote hai unme se ek satru aur dusra mitr hota hai .jeevan me satru vichar use kahte hai ki Jo har samy insan ko bagair soche samjhe ulte kam karwate hai yani ki kisi bhi kam ko kiye bagair usme safalta pana chahte hai aur Jo insan ke mitr vichar hote hai WO kewal apna karm karte hai .Matlab satru vichar har samy aapke mind ko galt kam karna ke liye kahta faisle Jo insan ka mitr vichar hote hai WO hamesha koi bhi galat kam karne se rokte hai.Isliye insan ko sabse pahle apne aap se sangharsh krna hoga kyoki kisi bhi insan ke vichar hamesha badlte rahte hai.Matlab ki hamesha apni life me aisa lagta hai ki ye kam karna chahiye ya nhi karna chahiye.
Lekin sabse pahle name apne vicharo ka theek tarike se aaklan karna hoga .kaun se vichar sahi hai aur kaun se galat hai.
Jo vichar hamare sahi hai unko apne pas rakhna chahiye aur Jo galat hai unko kabhi bhi nahi soche kyoki kisi bhi insan ka man bahut hi chanchal hota hai aur kuchh bhi  bagair soche insan ko karne ke liye majboor karta hai lekin dosto ka bhi hame apne man ke hisab se nhi chalna hai ye turant fal pane chesta karta hai aur dosto kisi bhi kam me turant fal nhi milta.insan ko apni aatma ke hisab se chalna hoga kyoki WO  kabhi bhi galat nhi hoti hai .
Koi bhi insan jab koi galat kam karta hai us insan ki aatma use rokti hai lekin Jo insan nahi manta whi paresan hota hai matlab uska parinam galat hota hai.
Kisi bhi insan ko Jo satru vichar hote hai WO achchhe vicharo par hamesha hawi rahte hai.
Hamesha insan ke jeevan me jab bhi sahi vicharo ka khayal aata hai to Jo igalat vichar hote hai wo rokte hai .
In vicharo ka jeevan me waise hi mahatw hai jaise ki yadi ham galat logo ke sath samaj me  baithe hai to hamare jeevan me unka asar hone lagta hai aur yadi achchhe logo ke sath baithate hai to insan ke jeevan me achchha hi asar hota hai.
Aisa hi hamare dimag me bhi hota hai jaise vichar hoge waise hi insan karm karta hai isliye dosto hame jivan me achchhe vicharo ko apna dost banana hai aur hame achchhe vicharo ke sath jeena hoga .
Dosto kisi mahan vyakti ne kha tha ki -------------
Karm pradhan vishwa rachi rakha
Jo jas kari so tas fal chakha .

Is duniya me karm sabse mhan hai Jo jaisa is sansar me karta hai unko wisa hi fal milta hai.
Isliye hame hamesha achchhe vicharo ke sath rahna hai aur apna kam lagan aur mehnat se karna hai .Insan ke jeevan me kabhi aisa samay aa jata hai ki wo apne aap par kabu nhi rakh pata aur life me ulte seedhe faisle le leta hai aur use fir aage bahut pachhtana padta hai lekin bad me to insan kuchh bhi nhi kar pata.
Isliye dosto yadi hame is duniya me apna nam karna hai to hame jindgi me sangharsh ka samna karna padega kyoki sangharsh karne ke bad insan apni life me anubhaw prapt karta hai .yadi dosto ham apna karm karne se peechhe nhi hatenge to ek din hame kamyabi milegi aur ham sage chalkar naya itihas likhege .
Dosto insan ke jeevan me kathinayiya aa sakti hai lekin sabhi kathinayiyo se ladkar hame aage badhna hoga ydi jeevan me pareshaniya nhi aayegi to use seekh kha se mile to insan ke jeevan me jab pareshaniya aati hai to insan ko kuchh na kuchh naya gyan dekar jati hai aur insan aur bhi majboot hota chala jata hai aur insan ydi sangharsh karta rahta hai to nishchit hi ek din kamyab hota hai aur whi aage jakr nya itihas likhta hai.


Please dosto me share Kare

Saturday, December 7, 2019

How do some people struggle for their hungriness in this world

Dosto is duniya me kuchh log khane ke liye sangharsh kar rahe hai.
Aj mai ye btane ja rha hu ki is sansar me log apni bhookh mitane ke liye sangharsh kar rhe hai .
Dosto is duniya me bhut se aise log hai Jo ki bagair khana khaye rat me so jate hai yhi sachchayi hai is duniya ki lekin ham log kabhi bhi un logo ke vishay me nhi sochate hai .is duniya ki ye hakikat hai ki kuchh log bhookhe mar rahe hai aur kuchh log khane ko barbad kar rahe hai.
Dosto aapne bhi dekha hoga ki log sadi ki party ho waise koi party kitna khana barbad krte hai.app gharo me dekhiye daily khana Bach jata hai use log fekte hai .
Kabhi bhi ham logo ne ye nhi socha ki log bhookhe mar rahe hai aur ham khana fek rahe hai yhi sachchayi hai ki log kewal apne hi vishay me sochte hai kabhi bhi un logo ke vishay me nhi sochate Jo ki bhukhe mar rahe hai .
Dosto ham logo ko aisa nahi karna chahiye hame kabhi bhi khana nahi fekna chahiye .
Kyoki ek gareeb insan jab subah se lekar Sam take khane ke liye sangharsh karta hai wo subah se lekar Sam tak kam karta hai tab use kahi khana naseeb hota hai .
Dosto kabhi kabhi aisa bhi time aata hai ki use bhukhe so Jana padta hai .lekin koi bhi nhi sochata un logo ko vishay me hame ye soch badlani hogi tabhi un logo ka kuchh hoga .Is sansar ki hakikat to ye hai ki koi na koi daily bhukh ke karan mar jata hai .
Lekin insan apne aap ghamand me itana choor ho gaya hai ki usko kisi ke vishay me sochane ka time nhi hai .
Dosto aisa nahi hai ki usko time nahi hai lekin wo sochana hi nahi chahta .Upper wale be insan ko isliye banaya ki wo achchhe karm karega jakar is duniya me sabhi kuchh diya insan ko fir nhi log nahi sudharte hai .
Kabhi bhi hame insaniyat nahi bhulani chahiye kyoki insan yadi achchhe karm karega to use uska fal bhi milega aur yadi bure karm karega to bhi usi ke hisab se use fal milega.
Dosto jin logo ko khane ke liye Sara din sangharsh karna padta hai kabhi unse puchhiye ki gareebi kya hoti hai tab pata chalega ki is jeevan me kya kya hota hai. Kabhi bhi extra khana nahi banana chahiye kyoki Jo ham fek dete hai wo kisi gareeb ke pet bharne ke kam aayega .Ham log yahi sochte hai ki hamare kewal akele karne se kya hoga nahi dosto sabse pahle hame sudharna hoga yadi yahi sochakar ham chalte hai to dheere dheere sabhi log sudhar jayege .
Dosto hamari sochh yahi honi chahiye ki yadi ham bhukhe nhi rah sakte to dusra kaise rahega ham sabhi logo ko abhi se ye sochna hoga ki aaj ke bad koi bhukha nhi rahega .ham logo yadi unke liye kuchh karte hai to bhut hi sahi hoga .

Isliye dosto dhyan rahe ki kabhi nhi khana barbad nhi ho aur na hi koi bhukh ke karan mare .
Hamare aas pas koi bhi party ho ya koi bhi kam ho usme jo bhi khana bache use gareebo ko bulakar khila de kyoki bhojan barbad bhi nhi hoga aur kisi bhi insan ke pet bharne ke kam aayega. Wo log bhi aapko dua denge kyoki hame ye sochna chahiye ki kisi bhi insan ka samay palt sakta hai.
Dosto kabhi bhi insan ka ek jaisa samay bhi rhata hai is duniya me sabhi logo ki jindgi me sukh  aur dukh aate jate rahte hai yhi sansar ka niyam hai .
Ye jaruri nhi hai Jo aaj ham hai waise hi kal bhi rahege isliye kabhi bhi kisi bhi insan ko gharna bhari najar se nahi dekhana chahiye .dosto ameeri gareebi to sabhi ke jeevan me aati jati rahti hai Jo aaj gareeb hai pata nahi kal wo kitna bada insan ban jaye .
Isliye dosto kabhi bhi kisi ko heen bhawna se na dekhe .
Dosto is sansar me bhut se aise log hai jinko pet bharne ke liye bhojan nahi milta jabki wo log bhukh ke karan mar jate hai aap logo ne to dekha hoga ki bahut se road kinare apna jeevan yapan karte hai koi bhi mausam ho lekin wo log apni rate road kinare hi gujarte hai .
Dosto is duniya me sabhi logo ko aaram se jeene ka adhikar hai lekin fir bhi wo log majbooriyo ka har samay samna karte rahte hai .
Kuchh log unke vishay me sochte bhi hai lekin fir wo log ye sochne late hai ki ham akele kya kar sakte hai aisa nahi hai dosto jab ham sudhar jayege to dusre log bhi sudhar jayege .
Yhi hame apni soch rakhni chahiye aur dusre logo ko bhi jagroop karna chahiye.
Ham log ek kam to kar hi sakte hai ki sabse pahle apne ghar ko sudhare kabhi bhi extra khana nahi banana hoga Jo ki jab bachh jata hai wo daily log fekte hai har ghar ka yahi niyam hai kam bhojan bnawaye ki extra na bache kyoki wo kisi gareeb ke kam aa sakta hai .yhi hame koi bhi insan khane ke liye bole to use apni chhamta ke anusar kuchh bhi khila de .

Dosto insaniyat sabse bada dharm hai isase bada koi bhi puny nahi hai .

Please dosto me share kare.

Wednesday, December 4, 2019

How to get sucess with struggule in life

Insan apne jeevan ko safal aur asafal kaise kar sakta hai.

Koi bhi manushya apne jeevan ko his tarah chahega waise hi bna sakta hai .insan ke karm ke anusar hi jeevan banta aur bigadta hai .ydi insan achchhe karm karega to use usko waise hi fal milega aur ydi galat karm karega usi ke anusar use fal milega . Is duniya sabhi insan apni jindgi ko safal banana chahta hai .
Lekin koi bhi sangharsh nhi karna chahta aur sochta hai ki ham bathkar hi safal insan ban Jaye .is duniya me log ye sochte hai mera bhi name liya Jaye .Lekin sangharsh karne ka jab time aata hai to wo pichhe hat jata hai .
Dosto bagair sangharsh ke hame kuchh bhi hasil nahi ho sakta hai is duniya me safalta pane ke liye hame kathin parishram karna padega.

Hame safalta pane ke liye hard work aur aneko sangharsh ka samna karna padega.

Dosto yadi apne jeevan me safalta pana chahte hai to aj se hi apko kam karna hoga .kyoki kal kabhi bhi nhi aata hai .jo bhi karna hai aaj se Abhi se Bina samay bitaye turant hi karna hoga .kyoki duniya itni badi hai jab tak ham sochege tab tak bahut sare log wo kam kar chuke honge.
Jeevan me safalta Pani hai to sabse apne mind ko set karna hoga ki hame har halat me safalta chahiye . Matlab apne uper sabse pahle aatmviswash karna hoga ki ham ek Naya itihas bnayege fir hame usi bat ko apne mind me set kar kam karna hoga.

Dosto yadi hame safalta Pani hai aur Naya itihas likhna hai to aaj se hi Nina samay gawaye
Apne kam par lagna hoga hamara kam hai karm karna fal Dena uper wale ka kam hai.
Hame bagair fal ki chesta karte hue karm karte rhana hai .apne kam me pura dhyan Dena hai . Dosto hame turant safalta to nhi mil jati safalta prapt karne me thoda samay to jarur lagega Lekin parinam bhut hi achchha hoga .Aur hame kathor parishram karna hoga yani ki sangharsh karna hoga .kyoki bagair sangharsh kiye na to hame anubhaw millega aur na hi safalta .Dosto kuchh log sochate hai hame bagair sangharsh ke safalta mil jaye to unki jindgi ki bhut badi bhool hai .Kyoki bagair sangharsh kiye insan bhut hi kam dino me khush rah sakta hai.
Iekin poori jindgi nahi rah sakte hai .Dosto hame jo sangharsh karke safalta milti hai wo long time tak rahti hai .Hard work karne walo ko safalta nischit hi milti hai thoda time jarur lag sakta hai .
 Isliye hame dosto Abhi se apne kam ki shuruaat karni hogi kyoki yadi ham ye sochege ki bad me kar lenge wo samay kabhi nhi aata hai .bathe rahne se insan ko kuchh bhi nhi milta .
Yadi ham kisi kam ko start karte hai to ham us kam me dheere dheere nipud ho jate hai.
Aur hame Gyan prapt hota hai jab hamare pas Gyan hota hai to kam ko ham aasani se kar lete hai.
Dosto ho sakta hai ki hame kisi kam me hame turant safalta na mile ham niche for jaye .
Lekin dosto ham jitni war niche girege utna hi ham us kam me aage jakar safal bhi hoge.kyoki hame kuchh na kuchh har war nya seekhane ko milta hai .waise bhi jab tak ham kisi kam me neeche nahi girege tab tak hame anubhaw nhi us kam me prapt hoga .bagair anubhaw ke safalta kaise milegi .
Islye hame kisi bhi kam me sangharsh karna hoga .Dosto hard work karne walo ki kabhi bhi har nhi hoti samsyaye jarur aa Sakti hai lekin kuchh dino ke liye Lekin hard work karne walo ki Jeet hamesha hotee Rahi hai aur aage bhi Hoti rahegi.
Dosto hard work hi hame safalta ki uchaiyo tak le jata hai .
Dosto jab ham hard work karke safal hote hai to jindgi me jeene ka aannad aata hai .
AJ tak jitne bhi logo ne apni jindgi me sangharsh Kiya hai whi log mahan log bane hai aur duniya me apna name Roshan Kiya hai is duniya me aneko example hai iske jaise ki ek gareeb insan bhi aage chalkar Ameer ho jata hai aur ek gareeb aadmi  ka beta Ias ban jata hai lekin kabhi ye socha hai dosto ki us gareeb insan ne kitna sangharsh Kiya hoga .Dosto ek chhotee si chitee hard work karke pahad Bana Sakti hai to ham to insan hai hame uper wale sab kuchh diya fir ham kyo nhi kar sakte hai.ydi ham chahege to jarur hi ham safal insan banege aur Naya itihas banayege .



Please aage ki post padhe_---


Sunday, December 1, 2019

The real life's truth

Jindgi ka Satya ____
Insan ka jeevan ek game ki tarah hai .kisi bhi manushya ke jivan me aneko game khelna padta hai.
Kisi bhi insan ki jindgi hamesha ek jaisee nhi rahti hai .jeevan me aneko mod aate hai.
Kabhi insan ki jindgi khushiyo se Bhari Hoti hai ; to kabhi dukho se Bhari Hoti hai.
Insan ko apani jindgi me aneko paresaniyo ka samna karna padta hai.
Lekin insan ke upar jab bhi presaniya Hoti hai to us samay koi bhi insan uska sath nhi deta hai apna ho ya praya koi bhi bigade samay me sath nhi deta hai.
Apne hi log us samay rista Tod lete hai.usko Sahara dene ke bagair log us par coment karte hai.
Lekin dosto kisi bhi insan ka samay ek jaisa nhi rahta hai kabhi bhi samay palat sakta hai.
Lekin kabhi kisi ki madad nahi kar sakte to us par kabhi  bhi coment nahi karna chahiye kyoki kisi ke jeevan me kabhi bhi paresaniya aa Sakti hai.
Isliye dosto kisi ke upar kabhi bhi Hasna nahi chahiye.Kyoki is jeevan me sabhi logo ke jindgi me sukh aur dukh aate jate rahte hai.
Ye kisi ki bhi jindagi ka Satya hai .Kabhi bhi insan ko apni jindgi me bahut kuchh jhelna padta hai.
Lekin dosto kabhi bhi jeevan me jaisa bhi samay aaye wo kitna bhi samsyao se bhara ho Lekin jivan me kabhi bhi har nhi manni chahiye .Aur kisi bhi samsya ka datkar mukabla kare aisa bhi samay ek din Nikal jayega kyoki jeevan ek sangharsh hai isase kya darna yadi aapne jeevan me har nhi Mani to nishchit hi aapka achhchha samay aayega .
Jeevan me kuchh logo ke upar jab paresaniya aati hai to wo log apni jingi se har man jate hai .Doto kabhi bhi har nahi mane jo log jeevan me har man jate hai to wo log apni jindgi me kuchh nhi kar pate ye to sabhi manushyo ki jindagi ka Satya hai koi bhi paresani jeevan me ho datkar sangharsh kare ye to jeevan me aata jata rahta hai.
Dosto jab bhi jindgi me koi presaniya ho to hamesha apne dimag ko shant rakhe .dosto ham mante hai ki hamesha dimag me uljhan rahti hai fir bhi insan ko us samay dimag ko shant rakhne ke vishay me socho.kyoki yadi ham apne dimag ko shant nahi rakhte to ham kisi kam ko sahi tareeke se nahi kar pate.Isliye hame pure Josh se kam ko shuru kare apna dimag apne kam par lagaye .
Aapko nishchit hi safalta melegi aur jab aapko safalta milegi to wahi log jo aapke upar coment karte the wo aapke aage peechhe ghumate najar aayege ye is duniya ka Satya hai.
Dosto jindgi aneko Khel khelti hai koi is Khel me pas hota hai to koi fel Lekin dosto jo log har nahi mante wo jarur pas hote hai . jo log paresaniya aane par darne lagte hai wo log fel ho jate hai jo log datkar paresaniyo ka mukabla karte hai wo log hamesha pas hote hai .
Isliye kabhi bhi jeevan me nirash nahi hona chahiye aur jab bhi paresaniya aaye unka datkar mukabla kare aapko nishay hi safalta milegi aur aapke jeevan sari khusiyo se bhar jayega.dosto yahi ham sabhi logo ki jindgi ka Satya hai.