Friday, January 31, 2020

Motivational story a simpile family

Dosto aaj ham is Post me janege ki ek sadharan pariwar kaise apne jeevan me sangharash karta hai .
Dosto aaj ham aapko ek simple family ke jeevan ki sacchi Kahani batane ja rhe hai......
Ek chhote se gaw me ek gareeb kisan rahta tha uske pariwar me total  panch log the wo kisi tarah apna jeevan chala rha tha .
Wo sara din apne kheto me kam karke apna pet pal rha tha .uske bchche abhi chote the kisi tarah apna gujara kar rha tha .
Lekin bachcho ko school bhejne ke liye uske pas paise nhi the lekin wo apne bachcho ko padhana chahta tha wo apni tarah bachcho ko nhi rakhna chahta tha unko pdha likhakar achchha insan banana chahta tha lekin kya kre uske pas bachcho ko school bhejne ke liye paise nhi the .
Ek din wo apni patni se bolta hai ki kya kare inko padhane ke liye paise kha se laye.
Uski wife ne bola ki ham bhi kam karte hai to kuchh paisa aa jayega jo bachcho ke school me nam likhane ke kam aayega.
Lekin wo padhi likhi nhi thi to kam kaise mile. Usne kam dhudna shuru kiya lekin koi kam hi nhi de rha tha.
Lekin usne har nhi mani wo kam khojti rahi aakhirkar ek din usko ek kam mila wo kam tha ghar me safayi karne ka aur uska salary per month five hundred rupaye thi .
Dosto ek month kam karne ke bad use paise mile usi paise se usne apne bachcho ka ek goverment school me dakhila krwa diya  .
Bachche school jane lage aur uska bhi kam badhne lga usko aas pas ke gharo me aur kam mil gaya .
Dosto uske bachhe padhne me hosiyar the  to unko school se kuchh anudan milne lga aur dheere of dheere time niklta ja rha tha.
Dosto unme ek ladka unka padhne me bahut hi achchha tha wo akshar yhi bolta tha ki mai ek adhikari banuga lekin dosto koi bhi insan nhi janta ki aane wala time kaisa hoga .

Dosto ek din achank uski maa ka dehant ho gaya achank un logo par dukh ka phad toot gya
Abhi tak jo paise aa rhe the wo bhi aana band ho gye unki uper fir whi presaniya chalu ho gayi fir se khane ke liye bhi muskile aane lgi .
Lekin dosto kisi bhi 17 sal ke bachchhe ke uper itni paresaniya aa jayegi to uska dimag kam nhi karega.
Lekin us ladke ne har nhi mani kuchh din beetne ke bad wo tution padhane lga jisse ki kuchh paise aane lage aur usne apni pdhayi ko nhi choda .
Wo din rat pdhayi karta aur apni upsc ki taiyari karne lga samay gujrta chala ja rha tha usne upsc ka exam diya lekin uska selection nhi hua.

Lekin dosto usne har nhi mani aur apna pryas jari rkha wo aur bhi jada time pdhayi me dene lga usne bahut hi kathor parishram kiya .
Dosto jab dusri bar fir usne form dala aur is bar uska selection ho gaya .
Aaj wo ek pcs adhikari hai .

Isliye dosto jo aap dimag me soch sakte h wo sabhi kuchh pa sakte hai lekin kisi bhi kam me kathor parishram ki jarurat hoti hai .
Aur kabhi bhi paresaniya aane se dare nhi datkar mukabla kare sabhi paresaniya door ho jayegi aur yadi dar gaye to aur bhi majbooriya jeevan me aayegi.

Dosto post achchhi lagi ho to comment aur share jarur kare -----



Monday, January 20, 2020

How can poverty finish in this world

Dosto aaj ham ye janege ki is sansar se kaise gareebi khatm ki ja sakti hai.kyoki abhi bhi is duniya me bahut hi gareeb log rahte hai is samuche sansar me bahut log gareebi me apne jeevan ji rhe hai bahut se logo ko aaj bhi dono time ka bhojan milta hai .
Aaj bhi bahut log is duiya me bhukhe mar jate hai .
Aaj bhi logo ke pas na to rahne ko ghar hai nahi logo ke pas khane ko khana hai.
Dosto jab tk gareebi nhi khatm hogi tab tk log aise hi marte rahege isliye greebi ko jad se khtm hona bahut jaruri hai.
Jab tak greebi khatm nhi hogi tab tk is duniya me koi bhi country aage kaise badhega .isliye gareebi ko jad se khatm karna aniwary hai.isko khtm  krne ke liye hm logo ki bhi kuchh jimmedariya banti hai jitna ki ham log kar sakte hai .

Gareebi ko khatm karne ke kuchh tipps hai jo is prakar hai ----

(1)Dosto sabse pahle prateak insan ko rojgar milna chahiye jab tk sabhi logo ko rojgar nhi milta tab tk gareebi ko khatm nhi kiya ja sakta isliye prateak country ki government ko sabhi logo ko rojgar dene ki vyoastha karni chahiye aur rojgar dene ke liye aneko karkhane start karna chahiye kyoki ydi unko Jo anudan diya jata hai to usse kabhi bhi gareebi nhi khatm ki ja sakti hai kyoki diya hua anudan kitne din chalega isliye is anudan ke paise ko karkhane chalu Karne me lgaya jaye jisse ki logo ko daily rojgar mile .ydi prateak din insan ko rojgar milega to apne aap uski gareebi khatm ho jayegi.
Ydi sabhi logo ko rojgar milega to koi bhi desh ho uski arthvyawastha theek hogi aur greebi apne aap hi khatm ho jayegi .

(2) population me control karna chahiye---

Dosto gareebi ko khatm Karne ke liye jansankhya me niyantran karna bahut jaruri hai .
Dosto sabhi logo ko jagrook hona padega ki jansankhya me badhottry na ho isliy sabhi sarkaro ko abhiyan chalana chahiye aur logo ko jagrook  karna chahiye .
Aur Dosto ham sabhi logo ko bhi sochna chahiye ki jansankhya na badhayi Jaye ye sabhi logo ko karna chahiye kisi ek insan ke Karne se nhi hoga .
Dosto isliye jab tk jansankhya me control nhi kiya jata hai tab tk gareebi nhi khatm ki ja saktee hai.
Dosto aaj puree duniya me jansankhya bahut hi teji se badh rhi hai jis hisab se jansankhya badh rhi hai uski tulna me rojgar ke sansadhan nhi hai .
Kyoki pahle logo ke pas bahut sari jameene hoti hai aaj wo sabhi khatm hoti chali ja rhi hai .
Jamene to kisi ke pas nhi rh gyi h blki logo ke pas rahne ke liye mkano ki problam ho rhi hai .
Isliye dosto jansankhya badhne se rokna hoga .
Aur isme sabhi desho ki sarkaro ko kdam uthane ki jarurat hai aur ham sabhi logo ko iske vishay me sochna chahiye .

(3) logo ko sikshit karna aniwary --- 

Dosto sabhi logo ko sikshit karna bahut hi jaruri hai jab tk sabhi log padhe likhe nhi honge tb tk  logo ki gareebi ko door nahi kiya ja sakta hai .
Isliye dosto siksha me vishesh dhyan dene ki jarurat hai isliye ham sabhi logo ko bhi isme dhyan dena chahiye .

Jab sabhi log padhe likhe honge to unke sochne ki chhamta adhik hoti hai ye log koi bhi kam soch samjhkar karte hai isliye sabhi logo ko sikshit karna bahut hi jaruri hai.
Jab tak sabhi log sikshit nhi honge tab tak gareebi ko door nhi kiya ja sakta hai.

(4) Bharstachar ko jad se khatm karne ki jarurat hai ---

Dosto Bharstachar ko jad se khatm karne ki jarurat hai kyoki jab tak isko khatm nhi kiya jata tab tak gareebi ko khatm nhi kiya ja sakta hai .
Kyoki ye bhrsatachar us deemk ki tarah hai jaise ki wo kisi bhi cheej ko dheere dheere khokhala kar deti hai .
Usi tarh se ye bhrstachar hai jo ki insano ko khokhala karta ja rha hai isliye isko jad se khatm karne ke liye sabhi desho ki sarkaro ko kathor kadam uthane ki jarurat hai .
Aur dosto ham sabhi logo ko bhi ise jad se khatm karna chahiye .
Kyoki aaj ham log ye dekhte ki is bhrstachar ke karan jo log kabil hote hai un logo ko achchhi post nhi mil pati hai aur jo log bekar hote hai wo paise dekar uchee posto me phuch jate hai 
Jab tk ye bharst log is samaj me hai tab tak yahi hota rahega .
Dosto isliye bhrstachar ko jad se khatm karne ki jarurat hai .

Dosto post achchhi lagi ho to comment aur share jarur kare ------

Thursday, January 16, 2020

How do poor pepple live their life

Dosto aaj ham ye janege ki gareeb insan kaise jindgi me apna jeevan yapn karta hai aaj bhi is sansar me bahut se gareeb log rahte hai aaj duniya me technology itnee aage badh gayi hai fir bhi abhi tak gareebi nhi khatm hui hai aaj bhi sansar me lakho log gareebi me ji rhe hai.
Dosto aaj bhi aap dekhege ki log ko pet bharne ke liye bhojan nhi milta hai aaj bhi is sansar me daily hajaro log bhukh ke karan mar jate hai .
Dosto aaj bhi logo ko apni bhukh mitane ke liye sangharsh karna padta hai aaj bhi logo ke pas na to rahne ke liye ghar hai na hi pet bharne ke liye bhojan milta hai .
Aaj bhi is duniya me kitne sare logo ki apna pet bharne ke liye din ratrat meh karni padtee hai tab khi jakar un logo ko bhojan milta hai yup
Dosto yhi sachchayi hai is duniya ki lekin fir bhi sabhi jagah ki goverment aakde alag pesh karti hai .
Duniya me bhrstachar itna badh gya hai ki jo bhi sarkar thodi si mdad bhi bhejtee hai wo bhi un logo ko nhi mil pata hai kyoki bharst log hi pahle kha jate hai unke nam ka dhidora peet kar kewal sarkare banayi jati hai aur un logo ke liye kuchh nhi kiya jata hai .
 Dosto kisi bhi insan ke liye jeevan me gareebi ek abhishap hai kyoki ki gareeb insan ko log ghrna ki drasti se dekhate hai .

Dosto kbhi kisi insan ko ghrna Bhari najr se nhi dekhna chahiye kyoki yadi ham kisi ki madad nhi kar sakte to uske bare me kyo bura bole .
Kyoki dosto kisi bhi insan ka samy badal sakta hai kyoki is sansar me sabhi insano ka samy badalta rahta hai yhi prakti ka niyam hai kyoki jo aaj hai wo kl nhi hoga samy apne kramanusar badlta rahta hai .
Dosto isliye ham sabhi ko is sansar se gareebi khatm karne ke liye kadam uthane chahiye yhi insaniyat hai kyoki insaniyat hi insan ka sabse bda dharm hai .

Dosto gareebi hatane ke liye aneko tareeke hai  __

Dosto is sansar se ydi gareebi hatana hai to uske liye aneko tareeke hai lekin un par kam kiya jaye .
Sabse pahle hamari sarkaro ko unke liye rojgar dene ke liye kadam uthane chahiye uske liye aneko karkhane kholane ki jarurat hai kyoki jab tk logo ko rojgar nhi diya jayega tab tak is duniya se gareebi nhi khatm ki ja sakti hai 

(2) Dosto ham sabhi logo ko milkar ek trst banani chahiye jisme ki log kuchh apna anudan de sake aur fir us anudan se koi kam start krna chahiye taki logo ko usse rojgar mile 
Kyoki ydi wo anudan ham gareebo me bant dete hai to kuchh bhi nhi hone wala hai kuchh din bad fir whi sthiti ho jayegi jo abhi hai isliye hame usko kisi aise kam me lagana hoga jisse ki logo ko rojgar mile jab logo ko daily kam milega to dheere dheere apne aap gareebi khatm ho jayegi .

Dosto is sansar se gareebi hatana bahut hi aniwary hai nhi to aise hi log marte rahege .

Dosto post achchhi lagi ho to like aur share jarur kare -----

Saturday, January 11, 2020

What should normal people do for improve their life

Dosto is Post me ham janege ki ek sadharan insan apni life ko kaise bna sakta hai aaj ki duniya me normal jindgi bahut log jeete hai .
Aaj is duniya me adhiktar log normal life hi jeete hai ek sadharan insan apni life me jis tarh jeevan yapan karta hai wo kewal whi janta hai ki uske pas na to rahne ke liye ghar hota hai aur na hi khane ke liye khana hota hai wo kisi tarah apna gujara karta hai .
Dosto sabhi log achchhi life jeena chahte hai lekin nhi ji pate hai kyoki kabhi bhi normal insan ko apni life me ye sochna padta hai ki kal khana milega ki nhi wo kewal usi ke vishay me sochta rahta hai aur kuchh bhi wo apni life me nhi soch pata hai koi bhi sadharan insan apne dimag me ye nhi soch pata ki ham bhi ek din safal insan banege .

Normal insan ko apni soch me bdalani hogi -----

Dosto sadharan vyakti apni soch me badlaw lana hoga kyoki jab tak koi bhi insan apni soch nhi badalta to wo whi nhi to wo insan apni jindgi me kuchh nhi kar sakta hai kyoki jis insan me sochne ki shakti nhi hoti to is duniya me kuchh nhi kar sakta hai wo insan jaisi jindgi jee rha hai waise hi jeeta rahega uski life me koi badlaw nhi hoga .
Isliye dosto sadharan insan ko bhi apni sochh badalni chahiye kyoki jo ham sochh nhi sakte to karenge kaise . Is duniya me bahut se normal insan ko dekha hoga ki wo apna nam kar jate hai aur bahut logo ne kiya bhi hai .
Isliye dosto kabhi bhi apne aapko chhota mat samjje kyoki aap bhi sabhi kuchh pa sakte hai jo aap is duniya me pana chahte hai .
Akshar log jab dusre ko dekhte hai ki us insan ke pas sab kuchh hai to uske dimag me ye vichar aata hai ki mere pas bhi sabhi kuchh hota jab kisi ko dekhte hai to utne time hi kewal uske mind me vichar aata hai aur uske bad ghar aakr sabhi kochh bhool jata hai .
Kabhi bhi bhulane se koi kam nhi hota hai isliye aap jo pana chahte hai usko apne mind me ye soch lo ki hame sabhi kuchh hasil karna hai jis din se aap ye soch lenge ki usi din se aapki life badalna start ho jayegi .
Dosto akshar log ye kahte hai ki sadharan insan ke pas kuchh sochne ka time nhi hota hai kyoki wo insan morning se lekar evening tak kam karta hai to wo kab sochega nhi dosto aisa nhi hai ham mante hai ki wo insan pura samay kam karta hai lekin fir bhi uske pas sochne ke liye samay hota hai .
Dosto jab insan night me sone jata hai tab to uske pas time hota hai lekin fir bhi wo nhi sochta faltu samay apne phon me barbad kar dega ya to ulti seedhi bate sochkar yhi logo ki sachchayi hai
Likin dosto yadi life me kuchh karna hai to faltu samay barbad na kare kyoki jo time Nikal jata hai wo kabhi wapas nhi aata hai .kyoki time bahut hi mulywan hota hai iski is duniya me koi keemat nhi hoti hai na hi ise koi khareed sakta hai isliye dosto kabhi bhi apna samay barbad na kare isko apni life banane me lgaye .Tabhi aap kuchh is duniya me kar sakte hai .
Dosto aapko apne mind me har samay sote jagte ye sochna hoga jisko aap pana chahte hai yadi aap aisa karenge to aapki jindgi me nishchit hi badlaw hoga aur aap jo kuchh bhi pana chahte hai wo aapko jarur hasil hoga.

Life me samasyaye aane se kbhi bhi dare nhi___

Jeevan me samasyaye aane par kabhi bhi ghabraye nhi kyoki jab ham samasyaye aane par dar jate hai to aur ek nayi Samsya aage aa jati hai kisi bhi prakar ki samsya ho usse dare nhi ydi aap dar jate hai to samjh lijiye aur nayi samsyaye aapke jeevan me aa jayegi isliye kabhi bhi darna nhi chahiye aur kisi bhi samsya ka datkar mukabla kre ydi aap sangharash karte hai to samjh leejiye aap nischit hi ek din jeetenge .aur jab aap samsyayo se sangharash karte hai to aane wale samay me aapko safal hone se is duniya ki koi bhi takat nhi rok sakti hai aur safalta aapke Charan chumegi .
Dosto samsyaye to prateak insan ke jeevan me aati jati rahti hai aisa koi bhi insan is duniya me nhi ki wo bagir kisi problam ke ji rha ho sabhi log kisi n kisi samsyayo se ghira hua hai .
Dosto insan ki life me ydi koi samsya nhi hogi to logo ko jindgi me jeene ka mja nhi aayega.
Isliye dosto life me samsyayo ka aana jaruri hota hai kyoki bagair sangharash ke jeevan adhura hai .
Kisi insan ki life me jab koi problam aati hai to insan kuchh nya seekha hai aur iske bad jo bhi galtiya hoti thi unka sudhar karta hai tabhi insan life me aage chalkar safal hota hai.
Isliye dosto jindgi me bagair dare hue samsyayo ka datkar mukabla kre.

Life me kuchh nya karne ke liye nirantar pryas jaree rakhe___

Dosto jindgi me ydi kuchh karna chahte hai to pryas karna bahut jaruri hota hai.jindgi me bagair pryas ke kuchh bhi nhi milta hai .
Isliye insan ko apni life me nirantar prayas karte rahna chahiye tabhi saflta miltee hai kabhi bhi kam ho yadi usme safal hona hai to kathor parikhram ki aur lgatar kosish karte rahna chahiye jab tak ham us kam me safal nhi ho jate .
Aapko preshaniya jarur aayegi lekin un preshaniyo se kabhi bhi nhi dare kyoki ydi aap darkar baith gaye to kuchh bhi hath nhi aane wala hai isliye kabhi bhi bagair dare hue aapko apna kam karna chahiye ydi aap safalta pane ke liye lagatar pryas karte hai to aapko safalta awshy hi milegi .
Dosto beete hue kal ke vishay me kabhi nhi sochna chahiye kyoki jo hona tha wo aapke sath ho chuka hai wo wapas nhi aane wala hai .
Isliye har samay aapko apne present ke vishay me sochna chahiye aur bagair thake aur bagair ruke hue kam karna chahiye .
Dosto life me har samay aage badhna chahiye peechhe mudkar kabhi nhi dekhna chahiye kyoki hame yadi life me improve karna hai to har halat me aage badhna hoga . Tabhi hame safalta milegi .
Dosto jis kam me aapki sabse jyada Ruchi ho usi ko karna chahiye kyoki usme aapko safalta bhut jaldi mil sakti hai .
Isliye dosto safalta pane ke liye har samay pryas karte rhe .

Dosto post ko share aur comment jarur kare __

Friday, January 3, 2020

How to become a successful man with high thinking in life

Dosto ydi kisi bhi insan ko jindgi me safalta prapt karni hai to usko apni life bda sochna hoga kyoki insan ki soch pratek manushya ki jindgi me main rol ada karti hai ydi insan me sochne ki kshamata nhi hoti hai to life kuchh bhi nhi kar sakta matlab jo insan jitna  bda apni life me sochta hai wo waise hi kam karta hai .
Jo insan apne jeevan me sochh sakta hai wo sab kuchh kar sakta hai insan ko jeevan me ydi safal hona hai to usko apni sochh badlni hogi aur insan ko kabhi bhi galat soch nhi rakhni hai .
Kabhi bhi jeevan me har samay achchhi soch rakhni chahiye aur samaaj ki burayiyo se hamesha door rahna chahiye .ydi aapki soch achchhi hogi to is duniya me aapko achchhe log milege kyoki insan ki life me achche logo ke sath aap baithate hai to aap bhi achchayi ke vishay me sochege.
Dosto jeevan me safal hona hai to aapko kuchh bda sochna hoga matlab aapko apna ek target Lena hoga aur fir us target ko har samay apne dimag me sochkar kam karna hoga.

Safalta pane ke liye high thinking aur hard work jaruri ___

Dosto life me ydi safalta prapt karni hai to uchi soch honi chahiye aur insan ke vichar bhi achchhe hone chahiye galat vicharo ko apne dimag me kabhi bhi nhi lana chahiye kyoki insan ko achchhe vichar hi usko jindgi me uchayiyo tak le jate hai kabhi bhi kisi bhi insan ke vishay me galat nhi sochne chahiye kyoki ydi ham kisi bhi manushya ke liye galat sochte ya galat karte hai to hamari apni life me uska ulta prbhaw pdta hai isliye hame har samay achchhe vicharo ke sath jeena hai aur apni soch har samay achchhi rakhni hai .
Jindgi me har samy sakaratmak soch rakhni hogi kabhi bhi nakaratmak soch nhi rakhni hai ydi ham jeevan me ye sochkar koi bhi kam karte hai ki hame safal hona hai to safalta aapko awashy hi milegi samay jarur lag sakta hai lekin aap ek din safal insan nischit hi banege .
Insan ki life me uski soch ka bhut hi bda yogdan hota hai kyoki jo bhi insan jis tareeke se sochta hai wo usi tareeke se apna kam karta hai .
Dosto life me kabhi bhi apna bahumulya samay dusre ke vishay me sochkar na gawaye kyoki ydi aapne apna samay dusre insan ke bigadne me laga diya to aap kuchh bhi jeevan me nhi kar sakte is duniya me kaun kya kar rha hai uske bare me kabhi bhi na soche .
Aapko pura time apni life ke vishay me sochna hoga aur apna mind apne work me lagana hoga . Kyoki jab ham apna time kam me lgayege to hamare kam me progress hogi aur hamare kam me tarkki hogi .aur apne kam me hame safalta milegi.
Dosto koi bhi kam ho usme hame safalta tabhi milegi jab ham us kam me kathor prishram karege 
Kisi bhi kam me hard work karna bahut hi jaruri hota hai kam chhota ho ya bda hai to kam hi .Koi bhi kam chhota ya bda nhi hota hai chhota kam hi aage chalkar bda ho jata hai .
Isliye dosto ydi life me safal hona hai to koi bhi kam kare chahe wo chhota ho ya bda usko lgan aur mehnat ke sath kre kyoki dosto mehnat hamesha rang lati kabhi bhi prishram karne walo ki kbhi bhi har nhi hoti hai .
Isliye dosto kisi bhi kam me apna pura samay de aur us kam me kathor prishram kare .kyoki dosto uper wala bhi hamesha mehnat karne walo ka sath deta hai isliye dosto mehanat karne se kabhi bhi peechhe nhi hate aapko safalta nischit hi milegi .
Dosto life me hamesha ye dhyan rakhna hai ki ______

Work is worship 🙏
  
Dosto post achi lagi ho to comment aur share kre -----